tujhe hai pyaar to yun karke chal dikha mujh ko
sabhi ke saamne apne gale laga mujh ko
main jaanta hoon ki tu ik dahakta shola hai
tiri tapish mein agar dam hai to jala mujh ko
har ik nazar ko pata hai main ek patthar hoon
har ek dil ne bana rakha hai khuda mujh ko
tiri zabaan pe hai inkaar aaj bhi lekin
kuchh aur kahti lagi hai tiri ada mujh ko
na ab raha hai koi shauq banne thanne ka
na apni or bulaata hai aaina mujh ko
kahi nadi kahi dariya kahi samundar hoon
ye naam deta hai paani ka silsila mujh ko
unhen hai shauq agar aazmaane ka ulfat
ghuroor apni wafa par bhi hai bada mujh ko
तुझे है प्यार तो यूँ करके चल दिखा मुझ को
सभी के सामने अपने गले लगा मुझ को
मैं जानता हूँ कि तू इक दहकता शो'ला है
तिरी तपिश में अगर दम है तो जला मुझ को
हर इक नज़र को पता है मैं एक पत्थर हूँ
हर एक दिल ने बना रखा है ख़ुदा मुझ को
तिरी ज़बाँ पे है इंकार आज भी लेकिन
कुछ और कहती लगी है तिरी अदा मुझ को
न अब रहा है कोई शौक़ बनने ठनने का
न अपनी ओर बुलाता है आईना मुझ को
कहीं नदी कहीं दरिया कहीं समुंदर हूँ
ये नाम देता है पानी का सिलसिला मुझ को
उन्हें है शौक़ अगर आज़माने का 'उल्फ़त'
ग़ुरूर अपनी वफ़ा पर भी है बड़ा मुझ को
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ulfat Batalvi
our suggestion based on Ulfat Batalvi
As you were reading Hug Shayari Shayari