tire dareeda garebaan mein ye rafu kya hai | तिरे दरीदा गरेबाँ में ये रफ़ू क्या है

  - Urooj Qadri

tire dareeda garebaan mein ye rafu kya hai
tujhe khabar nahin majnoon ki aabroo kya hai

mujhe to aap ki aankhon ne kar diya sarshaar
mujhe khabar hi nahin jaam kya suboo kya hai

na jaane hoga bhi dono mein ittifaq kabhi
mizaaj-e-husn hai kya meri aarzoo kya hai

majaaz hai ki haqeeqat savaab hai ki gunaah
pata nahin ki ye duniya-e-rang-o-boo kya hai

lahu to vo hai jo uble shaheed ki rag se
rag-e-guloo se na ublaa to phir lahu kya hai

mujhe hai jurm-e-mohabbat ka e'tiraaf urooj
meri saza mein koi bahs-o-guftugu kya hai

bade badon ke qadam jis maqaam par larzen
urooj tu hi bata us jagah pe tu kya hai

तिरे दरीदा गरेबाँ में ये रफ़ू क्या है
तुझे ख़बर नहीं मजनूँ की आबरू क्या है

मुझे तो आप की आँखों ने कर दिया सरशार
मुझे ख़बर ही नहीं जाम क्या सुबू क्या है

न जाने होगा भी दोनों में इत्तिफ़ाक़ कभी
मिज़ाज-ए-हुस्न है क्या मेरी आरज़ू क्या है

मजाज़ है कि हक़ीक़त सवाब है कि गुनाह
पता नहीं कि ये दुनिया-ए-रंग-ओ-बू क्या है

लहू तो वो है जो उबले शहीद की रग से
रग-ए-गुलू से न उब्ला तो फिर लहू क्या है

मुझे है जुर्म-ए-मोहब्बत का ए'तिराफ़ 'उरूज'
मिरी सज़ा में कोई बहस-ओ-गुफ़्तुगू क्या है

बड़े बड़ों के क़दम जिस मक़ाम पर लर्ज़ें
'उरूज' तू ही बता उस जगह पे तू क्या है

  - Urooj Qadri

Mashwara Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Urooj Qadri

As you were reading Shayari by Urooj Qadri

Similar Writers

our suggestion based on Urooj Qadri

Similar Moods

As you were reading Mashwara Shayari Shayari