meri aarzoo ki hudoos mein ye falak nahin ye zameen nahin
mujhe bazm-e-quds mein de jagah jo wahan nahin to kahi nahin
hai jabeen to asal mein vo jabeen ki jhuke wahan to jhuki rahe
tire aastaan se jo uth gai vo jabeen to koi jabeen nahin
mere dil ki nazr qubool kar jo ishaara ho to ye sar nisaar
ki wafa-e-ahd ki shart mein kahi darj lafz nahin nahin
ye arab bhi hai mere roo-b-roo ye ajam bhi hai mere saamne
meri justuju ko yaqeen hai kahi tujh sa koi haseen nahin
tire kund teshe se raah-rau ye chataan kaise kate bhala
tire haath yakh tire paanv shal tire dil mein soz-e-yaqeen nahin
ye jo bandagi hai urooj ki tiri zindagi se hai qeemti
na ho bandagi to fuzool hai koi wazn us ka kahi nahin
मिरी आरज़ू की हुदूद में ये फ़लक नहीं ये ज़मीं नहीं
मुझे बज़्म-ए-क़ुद्स में दे जगह जो वहाँ नहीं तो कहीं नहीं
है जबीं तो असल में वो जबीं कि झुके वहाँ तो झुकी रहे
तिरे आस्ताँ से जो उठ गई वो जबीं तो कोई जबीं नहीं
मिरे दिल की नज़्र क़ुबूल कर जो इशारा हो तो ये सर निसार
कि वफ़ा-ए-अहद की शर्त में कहीं दर्ज लफ़्ज़ नहीं नहीं
ये अरब भी है मिरे रू-ब-रू ये अजम भी है मिरे सामने
मिरी जुस्तुजू को यक़ीन है कहीं तुझ सा कोई हसीं नहीं
तिरे कुंद तेशे से राह-रौ ये चटान कैसे कटे भला
तिरे हाथ यख़ तिरे पाँव शल तिरे दिल में सोज़-ए-यक़ीं नहीं
ये जो बंदगी है 'उरूज' की तिरी ज़िंदगी से है क़ीमती
न हो बंदगी तो फ़ुज़ूल है कोई वज़्न उस का कहीं नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Urooj Qadri
our suggestion based on Urooj Qadri
As you were reading Fantasy Shayari Shayari