ye ishq ki hai raah na yun dagmaga ke chal | ये इश्क़ की है राह न यूँ डगमगा के चल

  - Urooj Qadri

ye ishq ki hai raah na yun dagmaga ke chal
himmat ko apni tol qadam ko jama ke chal

raah-e-wafa hai is mein na yun munh bana ke chal
kaanton ko raund raund ke tu muskuraa ke chal

sham-e-yaqeen ki lau ko zara aur tez kar
zulmat mein raharvon ko bhi rasta dikha ke chal

gardish falak ki tez hai raftaar teri sust
manzil hai door apne qadam ab badha ke chal

dushman jo dost ke hain vo naaraz hain to hon
seene pe zakham un ki jafaon ka kha ke chal

teeron ki baadh aane de apne qadam na rok
un ki khushi yahi hai tu khun mein naha ke chal

bahta hai khun to bahne de bahne ki cheez hai
qatron se khoon-surkh ke gulshan khila ke chal

himmat ke jaam sabr ke meena se nosh kar
naqsh-e-qadam se apne tu rasta bana ke chal

jalta rahe bas us ki tamannaa ka ik diya
us ke siva hain jitne diye sab bujha ke chal

ai meer-e-kaarwaan tiri khidmat mein arz hai
jo gir rahe hain raah mein un ko utha ke chal

rasta kathin hai tu hai bahut na-tawan urooj
sultaan-kaayenaat ko haami bana ke chal

ये इश्क़ की है राह न यूँ डगमगा के चल
हिम्मत को अपनी तोल क़दम को जमा के चल

राह-ए-वफ़ा है इस में न यूँ मुँह बना के चल
काँटों को रौंद रौंद के तू मुस्कुरा के चल

शम-ए-यक़ीं की लौ को ज़रा और तेज़ कर
ज़ुल्मत में रहरवों को भी रस्ता दिखा के चल

गर्दिश फ़लक की तेज़ है रफ़्तार तेरी सुस्त
मंज़िल है दूर अपने क़दम अब बढ़ा के चल

दुश्मन जो दोस्त के हैं वो नाराज़ हैं तो हों
सीने पे ज़ख़्म उन की जफ़ाओं का खा के चल

तीरों की बाढ़ आने दे अपने क़दम न रोक
उन की ख़ुशी यही है तू ख़ूँ में नहा के चल

बहता है ख़ूँ तो बहने दे बहने की चीज़ है
क़तरों से ख़ून-सुर्ख़ के गुलशन खिला के चल

हिम्मत के जाम सब्र के मीना से नोश कर
नक़्श-ए-क़दम से अपने तू रस्ता बना के चल

जलता रहे बस उस की तमन्ना का इक दिया
उस के सिवा हैं जितने दिए सब बुझा के चल

ऐ मीर-ए-कारवाँ तिरी ख़िदमत में अर्ज़ है
जो गिर रहे हैं राह में उन को उठा के चल

रस्ता कठिन है तू है बहुत ना-तवाँ 'उरूज'
सुल्तान-काएनात को हामी बना के चल

  - Urooj Qadri

Ishq Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Urooj Qadri

As you were reading Shayari by Urooj Qadri

Similar Writers

our suggestion based on Urooj Qadri

Similar Moods

As you were reading Ishq Shayari Shayari