bani hui hain mere dil ki tarjumaan aankhen
suna rahi hain mohabbat ki dastaan aankhen
na thi zabaan ko ijaazat ki haal-e-dil kahti
zabaan-e-ashk se karti raheen bayaan aankhen
kabhi chhupi hai mohabbat ki main chhupa leta
zabaan jo band hui ban gaeein zabaan aankhen
banaao daaman-e-saada pe in se gul-boote
qubool ho to karoon nazr khoon-fishaan aankhen
main andaleeb hoon phoolon ki deed meri hayaat
paron ko baandh na kar band baagbaan aankhen
sharaft-e-nigah-e-paak ka hai nigaraan dil
tahaarat-e-dil-e-momin ki paasbaan aankhen
urooj badh ke karo pesh dil ka nazraana
tumheen ko taak rahi hain vo dil-sitaan aankhen
बनी हुई हैं मिरे दिल की तर्जुमाँ आँखें
सुना रही हैं मोहब्बत की दास्ताँ आँखें
न थी ज़बाँ को इजाज़त कि हाल-ए-दिल कहती
ज़बान-ए-अश्क से करती रहीं बयाँ आँखें
कभी छुपी है मोहब्बत कि मैं छुपा लेता
ज़बाँ जो बंद हुई बन गईं ज़बाँ आँखें
बनाओ दामन-ए-सादा पे इन से गुल-बूटे
क़ुबूल हो तो करूँ नज़्र ख़ूँ-फ़िशाँ आँखें
मैं अंदलीब हूँ फूलों की दीद मेरी हयात
परों को बाँध न कर बंद बाग़बाँ आँखें
शराफ़त-ए-निगह-ए-पाक का है निगराँ दिल
तहारत-ए-दिल-ए-मोमिन की पासबाँ आँखें
'उरूज' बढ़ के करो पेश दिल का नज़राना
तुम्हीं को ताक रही हैं वो दिल-सिताँ आँखें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Urooj Qadri
our suggestion based on Urooj Qadri
As you were reading Deedar Shayari Shayari