bhari bazm mein gul-fishaan aur bhi hain
hamaare siva nukta-daan aur bhi hain
ye duniya to mit jaane waali hai lekin
zameen aur bhi aasmaan aur bhi hain
ye duniya to ik zarra-e-mukhtasar hai
makeen aur bhi hain makaan aur bhi hain
na tanhaa mera kaarwaan raah mein hai
rah-e-ishq mein kaarwaan aur bhi hain
na ho mutmain ek patthar hata kar
ki raaste mein sang-e-giraan aur bhi hain
agar jee lage aap ka to sunaau
fasaane kai bar-zabaan aur bhi hain
kaho bijliyon se ki barse musalsal
abhi baagh mein aashiyaan aur bhi hain
urooj apne goshe se baahar to niklo
ki baahar hazaaron jahaan aur bhi hain
भरी बज़्म में गुल-फ़िशाँ और भी हैं
हमारे सिवा नुक्ता-दाँ और भी हैं
ये दुनिया तो मिट जाने वाली है लेकिन
ज़मीं और भी आसमाँ और भी हैं
ये दुनिया तो इक ज़र्रा-ए-मुख़्तसर है
मकीं और भी हैं मकाँ और भी हैं
न तन्हा मिरा कारवाँ राह में है
रह-ए-इश्क़ में कारवाँ और भी हैं
न हो मुतमइन एक पत्थर हटा कर
कि रस्ते में संग-ए-गिराँ और भी हैं
अगर जी लगे आप का तो सुनाऊँ
फ़साने कई बर-ज़बाँ और भी हैं
कहो बिजलियों से कि बरसें मुसलसल
अभी बाग़ में आशियाँ और भी हैं
'उरूज' अपने गोशे से बाहर तो निकलो
कि बाहर हज़ारों जहाँ और भी हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Urooj Qadri
our suggestion based on Urooj Qadri
As you were reading Aasman Shayari Shayari