tasavvuraat ki duniya basa raha hoon main
tire khayal se taskin pa raha hoon main
khayal-o-vahm se unchi bahut hai teri zaat
tiri sifaat ka naqsha jama raha hoon main
mera vujood bhi partav hai teri hasti ka
dil-e-hazeen mein tira noor pa raha hoon main
ye kaun hai ki maayyat ka lutf haasil hai
tamaam aalam-e-imkaan pe chha raha hoon main
tire karam ki nihaayat nahin mere maalik
ki musht-e-khaak ko kundan bana raha hoon main
jilau mein jis ki ho amn-o-sukoon ki gul-paashi
vo inqilaab zamaane mein la raha hoon main
tire kalaam-e-muqaddas se raushni le kar
andheri raat mein shamaein jala raha hoon main
meri bisaat hi kya hai jahaan ke rakhwaale
tire sahaare pe himmat dikha raha hoon main
तसव्वुरात की दुनिया बसा रहा हूँ मैं
तिरे ख़याल से तस्कीन पा रहा हूँ मैं
ख़याल-ओ-वहम से ऊँची बहुत है तेरी ज़ात
तिरी सिफ़ात का नक़्शा जमा रहा हूँ मैं
मिरा वजूद भी परतव है तेरी हस्ती का
दिल-ए-हज़ीं में तिरा नूर पा रहा हूँ मैं
ये कौन है कि मअय्यत का लुत्फ़ हासिल है
तमाम आलम-ए-इम्काँ पे छा रहा हूँ मैं
तिरे करम की निहायत नहीं मिरे मालिक
कि मुश्त-ए-ख़ाक को कुंदन बना रहा हूँ मैं
जिलौ में जिस की हो अम्न-ओ-सुकूँ की गुल-पाशी
वो इंक़लाब ज़माने में ला रहा हूँ मैं
तिरे कलाम-ए-मुक़द्दस से रौशनी ले कर
अँधेरी रात में शमएँ जला रहा हूँ मैं
मिरी बिसात ही क्या है जहाँ के रखवाले
तिरे सहारे पे हिम्मत दिखा रहा हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Urooj Qadri
our suggestion based on Urooj Qadri
As you were reading Wajood Shayari Shayari