wafa ki raah mein gul hi nahin hai khaar bhi hai
ye jurm vo hai ki paadaash us ki daar bhi hai
sambhal ke aa mere hamdam ki raah-e-ishq-o-wafa
maqaam-e-sajda bhi maidaan-e-kaar-zaar bhi hai
mere khuda tiri rahmat ki aas rakhta hai
tira ye banda ki khaati bhi sharmasaar bhi hai
khizaan ka daur hai ghabra na bulbul-e-ghamgeen
khizaan ke ba'ad hi phir mausam-e-bahaar bhi hai
vo waqt door nahin hai ki phir tu chahkega
ki khaarzaar mein poshida laala-zaar bhi hai
nashe mein mast hain jo log vo bhi ye sun len
nashe ke ba'ad hi aaza-shikan khumaar bhi hai
ye kaarobaar-e-mohabbat bhi kya bala hai urooj
yaqeen hai va'da-khilaafi ka intizaar bhi hai
वफ़ा की राह में गुल ही नहीं है ख़ार भी है
ये जुर्म वो है कि पादाश उस की दार भी है
सँभल के आ मिरे हमदम कि राह-ए-इश्क़-ओ-वफ़ा
मक़ाम-ए-सज्दा भी मैदान-ए-कार-ज़ार भी है
मिरे ख़ुदा तिरी रहमत की आस रखता है
तिरा ये बंदा कि ख़ाती भी शर्मसार भी है
ख़िज़ाँ का दौर है घबरा न बुलबुल-ए-ग़मगीं
ख़िज़ाँ के बा'द ही फिर मौसम-ए-बहार भी है
वो वक़्त दूर नहीं है कि फिर तू चहकेगा
कि ख़ारज़ार में पोशीदा लाला-ज़ार भी है
नशे में मस्त हैं जो लोग वो भी ये सुन लें
नशे के बा'द ही आ'ज़ा-शिकन ख़ुमार भी है
ये कारोबार-ए-मोहब्बत भी क्या बला है 'उरूज'
यक़ीं है वा'दा-ख़िलाफ़ी का इंतिज़ार भी है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Urooj Qadri
our suggestion based on Urooj Qadri
As you were reading Wafa Shayari Shayari