us seene ki waqat hi kya hai jis seene mein tera noor nahin | उस सीने की वक़अत ही क्या है जिस सीने में तेरा नूर नहीं

  - Urooj Qadri

us seene ki waqat hi kya hai jis seene mein tera noor nahin
us kaasa-e-sar ki kya qeemat jo sang-e-junoon se choor nahin

us dil ko koi kyun dil maane jo jazb-o-junoon se khaali ho
us sham'a ko ham kyun sham'a kahein jo partav-e-sham’a-e-toor nahin

ye kaif-o-nashaat afzaa raatein ye aish-o-tarab ki saugaaten
jis shay ke evaz mein milti hain us shay ka ziyaan manzoor nahin

murda bhi nahin ye zinda hai maalik bhi nahin ye banda hai
insaan niraali khilqat hai mukhtar nahin majboor nahin

insaan ki azmat us pe fida ik banda-e-khaaki vo bhi tha
jo arsh-e-ilaahi choo aaya phir bhi vo zara maghroor nahin

us jaan-e-jahaan ki khushnoodi matloob-e-junoon maqsood-e-safar
socho to ye manzil door bhi hai socho to ye manzil door nahin

ho shauk-e-safar to raah-e-safar har samt khuli hai tere liye
dil tera talab se khaali hai tu warna yahan ma'zoor nahin

ham par vo urooj’-e-khasta-jigar talwaar uthaate hain lekin
us vaar se taskin kya hogi jo vaar abhi bharpoor nahin

उस सीने की वक़अत ही क्या है जिस सीने में तेरा नूर नहीं
उस कासा-ए-सर की क्या क़ीमत जो संग-ए-जुनूँ से चूर नहीं

उस दिल को कोई क्यूँ दिल माने जो जज़्ब-ओ-जुनूँ से ख़ाली हो
उस शम्अ को हम क्यूँ शम्अ कहें जो परतव-ए-शम्अ-ए-तूर नहीं

ये कैफ़-ओ-नशात अफ़ज़ा रातें ये ऐश-ओ-तरब की सौग़ातें
जिस शय के एवज़ में मिलती हैं उस शय का ज़ियाँ मंज़ूर नहीं

मुर्दा भी नहीं ये ज़िंदा है मालिक भी नहीं ये बंदा है
इंसान निराली ख़िल्क़त है मुख़्तार नहीं मजबूर नहीं

इंसान की अज़्मत उस पे फ़िदा इक बंदा-ए-ख़ाकी वो भी था
जो अर्श-ए-इलाही छू आया फिर भी वो ज़रा मग़रूर नहीं

उस जान-ए-जहाँ की ख़ुशनूदी मतलूब-ए-जुनूँ मक़्सूद-ए-सफ़र
सोचो तो ये मंज़िल दूर भी है सोचो तो ये मंज़िल दूर नहीं

हो शौक़-ए-सफ़र तो राह-ए-सफ़र हर सम्त खुली है तेरे लिए
दिल तेरा तलब से ख़ाली है तू वर्ना यहाँ मा'ज़ूर नहीं

हम पर वो ‘उरूज’-ए-ख़स्ता-जिगर तलवार उठाते हैं लेकिन
उस वार से तस्कीं क्या होगी जो वार अभी भरपूर नहीं

  - Urooj Qadri

Manzil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Urooj Qadri

As you were reading Shayari by Urooj Qadri

Similar Writers

our suggestion based on Urooj Qadri

Similar Moods

As you were reading Manzil Shayari Shayari