aa gaya waqt ki ho daawat-e-aam ai saaqi
bhej de chaaron taraf apna payaam ai saaqi
kheench laayega hazaaron ko tire paas yahan
ye tira husn-e-nazar husn-e-kalaam ai saaqi
ghar lutaane ki nahin ghar ko bachaane ki hai fikr
kis qadar ishq hai mera abhi khaam ai saaqi
kaasa-e-dil hai tire saamne us ko bhar de
may-e-angoor to hai mujh pe haraam ai saaqi
un se bachna hai tire lutf-o-karam par mauqoof
hain rah-e-ishq mein phaile hue daam ai saaqi
kab naye nazm se duniya ko milegi raahat
kitna mohalik hai ye farsooda nizaam ai saaqi
door goshe mein hai uftaada-o-dil-geer urooj
aa kabhi us ki taraf badaa-b-jaam ai saaqi
आ गया वक़्त कि हो दावत-ए-आम ऐ साक़ी
भेज दे चारों तरफ़ अपना पयाम ऐ साक़ी
खींच लाएगा हज़ारों को तिरे पास यहाँ
ये तिरा हुस्न-ए-नज़र हुस्न-ए-कलाम ऐ साक़ी
घर लुटाने की नहीं घर को बचाने की है फ़िक्र
किस क़दर इश्क़ है मेरा अभी ख़ाम ऐ साक़ी
कासा-ए-दिल है तिरे सामने उस को भर दे
मय-ए-अंगूर तो है मुझ पे हराम ऐ साक़ी
उन से बचना है तिरे लुत्फ़-ओ-करम पर मौक़ूफ़
हैं रह-ए-इश्क़ में फैले हुए दाम ऐ साक़ी
कब नए नज़्म से दुनिया को मिलेगी राहत
कितना मोहलिक है ये फ़र्सूदा निज़ाम ऐ साक़ी
दूर गोशे में है उफ़्तादा-ओ-दिल-गीर 'उरूज'
आ कभी उस की तरफ़ बादा-ब-जाम ऐ साक़ी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Urooj Qadri
our suggestion based on Urooj Qadri
As you were reading Ishq Shayari Shayari