shaheedon ka tire shohra zameen se aasmaan tak hai | शहीदों का तिरे शोहरा ज़मीं से आसमाँ तक है

  - Urooj Qadri

shaheedon ka tire shohra zameen se aasmaan tak hai
falak se balki aage badh ke tere aastaan tak hai

jamaal-e-jaan-fiza ka un ke dilkash dil-ruba jalwa
zameen se aasmaan tak hai makaan se la-makaan tak hai

rahein sab mutmain gulshan mein apne aashiyanoon se
ki jaulaan-gaah bijli ki hamaare aashiyaan tak hai

naseehat par amal khud bhi to karna chahiye waiz
asar kya ho ki tera waaz to nok-e-zabaan tak hai

musalmaani faqat tasbeeh-khwaani hi nahin hamdam
musalmaani ka lamba haath shamsher-o-sinaan tak hai

budhaapa fikr par aaye to nakbat saath aati hai
tarqqi aur azmat qaum ki fikr-e-jawaan tak hai

faqat duniya hi us ki goonj ka halka nahin hargiz
tiri hamd-o-sana ki goonj gulzaar-e-jinaan tak hai

main hoon paigham-e-haq islaam mera naam-e-naami hai
jahaan tak hai ye duniya mera halka bhi wahan tak hai

wahi alfaaz hain mauzoon agar hon she'r hote mein
haqeeqat shaay'ri ke fan ki bas husn-e-bayaan tak hai

taveel itni hai zanjeer-e-aseeri is zamaane mein
ki haazir qaid-khaane mein urooj’-e-na-tawaan tak hai

शहीदों का तिरे शोहरा ज़मीं से आसमाँ तक है
फ़लक से बल्कि आगे बढ़ के तेरे आस्ताँ तक है

जमाल-ए-जाँ-फ़िज़ा का उन के दिलकश दिल-रुबा जल्वा
ज़मीं से आसमाँ तक है मकाँ से ला-मकाँ तक है

रहें सब मुतमइन गुलशन में अपने आशियानों से
कि जौलाँ-गाह बिजली की हमारे आशियाँ तक है

नसीहत पर अमल ख़ुद भी तो करना चाहिए वाइज़
असर क्या हो कि तेरा वा'ज़ तो नोक-ए-ज़बाँ तक है

मुसलमानी फ़क़त तस्बीह-ख़्वानी ही नहीं हमदम
मुसलमानी का लम्बा हाथ शमशीर-ओ-सिनाँ तक है

बुढ़ापा फ़िक्र पर आए तो नक्बत साथ आती है
तरक़्क़ी और अज़्मत क़ौम की फ़िक्र-ए-जवाँ तक है

फ़क़त दुनिया ही उस की गूँज का हल्क़ा नहीं हरगिज़
तिरी हम्द-ओ-सना की गूँज गुलज़ार-ए-जिनाँ तक है

मैं हूँ पैग़ाम-ए-हक़ इस्लाम मेरा नाम-ए-नामी है
जहाँ तक है ये दुनिया मेरा हल्क़ा भी वहाँ तक है

वही अल्फ़ाज़ हैं मौज़ूँ अगर हों शे'र होते में
हक़ीक़त शाइ'री के फ़न की बस हुस्न-ए-बयाँ तक है

तवील इतनी है ज़ंजीर-ए-असीरी इस ज़माने में
कि हाज़िर क़ैद-ख़ाने में ‘उरूज’-ए-ना-तवाँ तक है

  - Urooj Qadri

Hunar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Urooj Qadri

As you were reading Shayari by Urooj Qadri

Similar Writers

our suggestion based on Urooj Qadri

Similar Moods

As you were reading Hunar Shayari Shayari