na raah-rau hain ikattha na raah-daan paida | न राह-रौ हैं इकट्ठा न राह-दाँ पैदा

  - Urooj Qadri

na raah-rau hain ikattha na raah-daan paida
to kya zameen se ho jaaye kaarwaan paida

mashakqaton se na ghabra na zahmaton se kabhi
ki phool hote hain kaanton ke darmiyaan paida

vo khalk-o-amr ke maalik hain vo agar chahein
to ik ishaare se hote hain sau jahaan paida

zameen ko gardish-e-aflaak se najaat nahin
b-har zameen ki raseedem aasmaan paida

tumheen bahaar ho mere liye ki hota hai
tumhaare aariz-e-gul-goon se gulsitaan paida

batao kaun hai jis ka jamaal-e-jaan-parwar
b-har-makaan hai numoodaar o har-zamaan paida

urooj tu na ho gamgeen hujoom-e-a'ada se
isee hujoom se hote hain meherbaan paida

न राह-रौ हैं इकट्ठा न राह-दाँ पैदा
तो क्या ज़मीन से हो जाए कारवाँ पैदा

मशक़्क़तों से न घबरा न ज़हमतों से कभी
कि फूल होते हैं काँटों के दरमियाँ पैदा

वो ख़ल्क़-ओ-अम्र के मालिक हैं वो अगर चाहें
तो इक इशारे से होते हैं सौ जहाँ पैदा

ज़मीं को गर्दिश-ए-अफ़्लाक से नजात नहीं
“ब-हर ज़मीं कि रसीदेम आसमाँ पैदा”

तुम्हीं बहार हो मेरे लिए कि होता है
तुम्हारे आरिज़-ए-गुल-गूँ से गुल्सिताँ पैदा

बताओ कौन है जिस का जमाल-ए-जाँ-परवर
ब-हर-मकाँ है नुमूदार ओ हर-ज़माँ पैदा

'उरूज' तू न हो ग़मगीं हुजूम-ए-आ'दा से
इसी हुजूम से होते हैं मेहरबाँ पैदा

  - Urooj Qadri

Ishaara Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Urooj Qadri

As you were reading Shayari by Urooj Qadri

Similar Writers

our suggestion based on Urooj Qadri

Similar Moods

As you were reading Ishaara Shayari Shayari