main bataaun ishq kya hai ek paiham iztiraab | मैं बताऊँ इश्क़ क्या है एक पैहम इज़्तिराब

  - Urooj Qadri

main bataaun ishq kya hai ek paiham iztiraab
dheemi dheemi aanch kahiye ya musalsal iltihaab

raat vo aaye the chehre se naqaab ulte hue
main to hairaan tha nikal aaya kidhar se aftaab

dil pe un ke roo-e-raushan ka pada hai jab se aks
dil nahin hai balki seene mein hai raushan mahtaab

un ke deewaanon ka istiqbaal hai daar-o-rasan
khinch gaya jo daar par un ke liye vo kaamyaab

kya meri hamd-o-sana aur kya mera shukr-o-sipaas
un ke ehsaan be-shumaar aur un ki ne'mat be-hisaab

raat ka pichhla pahar tha aur aansu ki jhadi
mera dil tha shaayad un ki baargah mein baaryaab

ishq ki duniya mein aise haadson se kya mafar
aaya qaasid ka janaaza mere naame ka jawaab

ye mahal meri tamannaon ka ai ahmad-urooj
jaise bacchon ka gharaunda jaise deewane ka khwaab

मैं बताऊँ इश्क़ क्या है एक पैहम इज़्तिराब
धीमी धीमी आँच कहिए या मुसलसल इल्तिहाब

रात वो आए थे चेहरे से नक़ाब उल्टे हुए
मैं तो हैराँ था निकल आया किधर से आफ़्ताब

दिल पे उन के रू-ए-रौशन का पड़ा है जब से अक्स
दिल नहीं है बल्कि सीने में है रौशन माहताब

उन के दीवानों का इस्तिक़बाल है दार-ओ-रसन
खिंच गया जो दार पर उन के लिए वो कामयाब

क्या मिरी हम्द-ओ-सना और क्या मिरा शुक्र-ओ-सिपास
उन के एहसाँ बे-शुमार और उन की ने'मत बे-हिसाब

रात का पिछ्ला पहर था और आँसू की झड़ी
मेरा दिल था शायद उन की बारगह में बारयाब

इश्क़ की दुनिया में ऐसे हादसों से क्या मफ़र
आया क़ासिद का जनाज़ा मेरे नामे का जवाब

ये महल मेरी तमन्नाओं का ऐ ‘अहमद-उरूज'
जैसे बच्चों का घरौंदा जैसे दीवाने का ख़्वाब

  - Urooj Qadri

Andhera Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Urooj Qadri

As you were reading Shayari by Urooj Qadri

Similar Writers

our suggestion based on Urooj Qadri

Similar Moods

As you were reading Andhera Shayari Shayari