hayaat hai mere dil ki kisi ki zinda yaad
usi se hai ye darkhshan usi se hai aabaad
wafa na ho to mohabbat ka e'tibaar nahin
jafaa na ho to hai ye dilbari bhi be-buniyaad
tamaam jism hai faasid tamaam jism kharab
agar na jaaye kisi aadmi ke dil ka fasaad
ab ek qissa-e-maazi hai zulm-e-chengezi
ki ho gaye hain nayi qism ke sitam ijaad
mujhe batao jagah vo jahaan mile mujh ko
jigar ka soz nazar ka hijaab dil ki kushaad
mere yaqeen ki hai buniyaad aql se mohkam
tumhaare shakk-o-taraddud ki sust hai buniyaad
urooj fikr-e-aseeri se zehan khaali kar
bala se jism hai mahboos dil to hai azaad
हयात है मिरे दिल की किसी की ज़िंदा याद
उसी से है ये दरख़्शाँ उसी से है आबाद
वफ़ा न हो तो मोहब्बत का ए'तिबार नहीं
जफ़ा न हो तो है ये दिलबरी भी बे-बुनियाद
तमाम जिस्म है फ़ासिद तमाम जिस्म ख़राब
अगर न जाए किसी आदमी के दिल का फ़साद
अब एक क़िस्सा-ए-माज़ी है ज़ुल्म-ए-चंगेज़ी
कि हो गए हैं नई क़िस्म के सितम ईजाद
मुझे बताओ जगह वो जहाँ मिले मुझ को
जिगर का सोज़ नज़र का हिजाब दिल की कुशाद
मिरे यक़ीं की है बुनियाद अक़्ल से मोहकम
तुम्हारे शक्क-ओ-तरद्दुद की सुस्त है बुनियाद
'उरूज' फ़िक्र-ए-असीरी से ज़ेहन ख़ाली कर
बला से जिस्म है महबूस दिल तो है आज़ाद
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Urooj Qadri
our suggestion based on Urooj Qadri
As you were reading Promise Shayari Shayari