wahi haadson ke qisse wahi maut ki kahaani | वही हादसों के क़िस्से वही मौत की कहानी

  - Vafa Barahi

wahi haadson ke qisse wahi maut ki kahaani
abhi dastaras se baahar hai shoor-e-zindagaani

jo mita ke apni hasti bana gham-gusaar-e-sehra
use raas kaise aati tire dar ki paasbaani

wahi shakhs la-ubaali hua munkir-e-haqeeqat
jise chilmanon ki saazish se mili thi bad-gumaani

na ghubaar-e-kaarvaan hai na nishaan-e-raah-e-manzil
koi aks-e-maavara ki kare kaise tarjumaani

jo faza-e-bahr-o-bar ko kare aur bhi munavvar
karo ai wafa muskhkhar vo shua-e-aasmaani

वही हादसों के क़िस्से वही मौत की कहानी
अभी दस्तरस से बाहर है शुऊर-ए-ज़िंदगानी

जो मिटा के अपनी हस्ती बना ग़म-गुसार-ए-सहरा
उसे रास कैसे आती तिरे दर की पासबानी

वही शख़्स ला-उबाली हुआ मुंकिर-ए-हक़ीक़त
जिसे चिलमनों की साज़िश से मिली थी बद-गुमानी

न ग़ुबार-ए-कारवाँ है न निशान-ए-राह-ए-मंज़िल
कोई अक्स-ए-मावरा की करे कैसे तर्जुमानी

जो फ़ज़ा-ए-बहर-ओ-बर को करे और भी मुनव्वर
करो ऐ 'वफ़ा' मुसख़्ख़र वो शुआ-ए-आसमानी

  - Vafa Barahi

Wafa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vafa Barahi

As you were reading Shayari by Vafa Barahi

Similar Writers

our suggestion based on Vafa Barahi

Similar Moods

As you were reading Wafa Shayari Shayari