jaage se kitne ghar dekhe raat ki khaamoshi mein | जागे से कितने घर देखे रात की ख़ामुशी में

  - Vandana Bhardwaj Tiwari Vani

jaage se kitne ghar dekhe raat ki khaamoshi mein
deewaar pe saaye hi to the raat ki khaamoshi mein

gul-boote aur baagh jab so jaate hain khwaabon ko odhe
tab raat raani hi khushboo de raat ki khaamoshi mein

din bhar khud apni lagaaee aatish mein dil jal raha tha
ab sham'a sa bujh raha hai ye raat ki khaamoshi mein

tanhaai mein chubhte hain jab yaadon ke nashtar se akshar
goshe mein ham rote hain khul ke raat ki khaamoshi mein

gar neend hai to phir in jaltee aankhon mein tu utar aa
gar maut hai to le chal yaa se raat ki khaamoshi mein

kaatee nahin jaati ab mujh se hijr ki lambi raatein
koi mere dil ko bahla de raat ki khaamoshi mein

ho jheel mein chaand utara ya khwaab mein khoi vaani
sab apne hi ashk se bheege raat ki khaamoshi mein

जागे से कितने घर देखे रात की ख़ामुशी में
दीवार पे साए ही तो थे रात की ख़ामुशी में

गुल-बूटे और बाग़ जब सो जाते हैं ख़्वाबों को ओढ़े
तब रात रानी ही ख़ुशबू दे रात की ख़ामुशी में

दिन भर ख़ुद अपनी लगाई आतिश में दिल जल रहा था
अब शम्अ सा बुझ रहा है ये रात की ख़ामुशी में

तन्हाई में चुभते हैं जब यादों के नश्तर से अक्सर
गोशे में हम रोते हैं खुल के रात की ख़ामुशी में

गर नींद है तो फिर इन जलती आँखों में तू उतर आ
गर मौत है तो ले चल याँ से रात की ख़ामुशी में

काटी नहीं जाती अब मुझ से हिज्र की लम्बी रातें
कोई मिरे दिल को बहला दे रात की ख़ामुशी में

हो झील में चाँद उतरा या ख़्वाब में खोई 'वानी'
सब अपने ही अश्क से भीगे रात की ख़ामुशी में

  - Vandana Bhardwaj Tiwari Vani

Chaand Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vandana Bhardwaj Tiwari Vani

As you were reading Shayari by Vandana Bhardwaj Tiwari Vani

Similar Writers

our suggestion based on Vandana Bhardwaj Tiwari Vani

Similar Moods

As you were reading Chaand Shayari Shayari