haal kuchh to mujhe suna jaaye
kuchh ghadi ke liye vo aa jaaye
main pareshaan hoon zindagi se ab
neend gahri mujhe sula jaaye
tum mohabbat ho meri kehta hoon
aage ab aur kya kaha jaaye
gar vo jaaye to phir chala jaaye
ye khabar mujhko bas bata jaaye
koi takneek hai yahan usko
bhool kar kaise ab raha jaaye
ye tabiyat so theek ho jaaye
dekh kar vo jo muskuraa jaaye
usne aankhon se so pilaai thi
mera ye kaise ab nasha jaaye
हाल कुछ तो मुझे सुना जाए
कुछ घड़ी के लिए वो आ जाए
मैं परेशाँ हूँ ज़िंदगी से अब
नींद गहरी मुझे सुला जाए
तुम मोहब्बत हो मेरी कहता हूँ
आगे अब और क्या कहा जाए
गर वो जाए तो फिर चला जाए
ये ख़बर मुझको बस बता जाए
कोई तकनीक है यहाँ उसको
भूल कर कैसे अब रहा जाए
ये तबीयत सो ठीक हो जाए
देख कर वो जो मुस्कुरा जाए
उसने आँखों से सो पिलाई थी
मेरा ये कैसे अब नशा जाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vaseem 'Haidar'
our suggestion based on Vaseem 'Haidar'
As you were reading Mashwara Shayari Shayari