qasmen use deen kitni magar vo ruki nahin | क़समें उसे दीं कितनी मगर वो रुकी नहीं

  - Vaseem 'Haidar'

qasmen use deen kitni magar vo ruki nahin
usne kaha tha rukna mera ab sahi nahin

khwaabon kii laashein jo hai mere jism mein kahin
vo mayyatein abhi bhi wahan se uthi nahin

cigarette main pee raha hoon use yaad karke hi
ik vo hai sang-e-dil jo zara sa dukhi nahin

dil ka mere jo qatl hua tha yahin kahin
phir uske baad mujhko mohabbat hui nahin

har ek baat par vo hansa karti thi bahut
maine bhi usse baat vo dil kii kahi nahin

maine use kaha tha mujhe chhodna na tum
usne meri ye baat kabhi bhi sooni nahin

uski vo saari yaadein bhula di hain maine phir
tasveer uski phone mein bhi phir rakhi nahin

ham-shakl uske jaisi abhi tak mili nahin
lagta hai uske jaisi khuda se bani nahin

koii waseem tujhko kahin mil hi jaayegi
tu ye samajh vo teri so qismat mein thi nahin

क़समें उसे दीं कितनी मगर वो रुकी नहीं
उसने कहा था रुकना मिरा अब सही नहीं

ख़्वाबों की लाशें जो है मिरे जिस्म में कहीं
वो मय्यतें अभी भी वहाँ से उठी नहीं

सिगरेट मैं पी रहा हूँ उसे याद करके ही
इक वो है संग-ए-दिल जो ज़रा सा दुखी नहीं

दिल का मिरे जो क़त्ल हुआ था यहीं कहीं
फिर उसके बाद मुझको मोहब्बत हुई नहीं

हर एक बात पर वो हँसा करती थी बहुत
मैंने भी उससे बात वो दिल की कही नहीं

मैंने उसे कहा था मुझे छोड़ना न तुम
उसने मेरी ये बात कभी भी सुनी नहीं

उसकी वो सारी यादें भुला दी हैं मैंने फिर
तस्वीर उसकी फ़ोन में भी फिर रखी नहीं

हम-शक्ल उसके जैसी अभी तक मिली नहीं
लगता है उसके जैसी ख़ुदा से बनी नहीं

कोई 'वसीम' तुझको कहीं मिल ही जाएगी
तू ये समझ वो तेरी सो क़िस्मत में थी नहीं

  - Vaseem 'Haidar'

Raksha bandhan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vaseem 'Haidar'

As you were reading Shayari by Vaseem 'Haidar'

Similar Writers

our suggestion based on Vaseem 'Haidar'

Similar Moods

As you were reading Raksha bandhan Shayari Shayari