tumhaari jaan-e-jaan mujhko zaroorat hai
kahoon kya main yahan qismat mein furqat hai
mohabbat karke seene se lagao ab
suno mere yahan aisi rivaayat hai
koi aaye mera deedaar karne ko
mera ye qalb khaali ek turbat hai
yahan ham maut ke hain muntazir yaaron
yahan hamko bahut saari so furqat hai
mohabbat mein kisi ko kuchh nahin milta
suno ladki tumhein meri hidaayat hai
mohabbat apni chhodi hai khuda par hi
mujhe vo nain mile ye meri qismat hai
mujhe sona hai gahri neend mein ab to
mujhe khwaabon mein ab uski ziyaarat hai
mera ye ishq kaise ab mukammal ho
koi maana nahin ghar mein museebat hai
gale vo mujhko kas kar ab lagaaye phir
ye ik muddat se meri yaar hasrat hai
तुम्हारी जान-ए-जाँ मुझको ज़रूरत है
कहूँ क्या मैं यहाँ क़िस्मत में फ़ुर्क़त है
मोहब्बत करके सीने से लगाओ अब
सुनो मेरे यहाँ ऐसी रिवायत है
कोई आए मिरा दीदार करने को
मिरा ये क़ल्ब ख़ाली एक तुर्बत है
यहाँ हम मौत के हैं मुंतज़िर यारों
यहाँ हमको बहुत सारी सो फ़ुर्सत है
मोहब्बत में किसी को कुछ नहीं मिलता
सुनो लड़की तुम्हें मेरी हिदायत है
मोहब्बत अपनी छोड़ी है ख़ुदा पर ही
मुझे वो नइं मिले ये मेरी क़िस्मत है
मुझे सोना है गहरी नींद में अब तो
मुझे ख़्वाबों में अब उसकी ज़ियारत है
मिरा ये इश्क़ कैसे अब मुकम्मल हो
कोई माना नहीं घर में मुसीबत है
गले वो मुझको कस कर अब लगाए फिर
ये इक मुद्दत से मेरी यार हसरत है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vaseem 'Haidar'
our suggestion based on Vaseem 'Haidar'
As you were reading Qabr Shayari Shayari