umr nikli tumhein bhulaane mein | उम्र निकली तुम्हें भुलाने में

  - Vaseem 'Haidar'

umr nikli tumhein bhulaane mein
kyun nahin tum ho is zamaane mein

saamne main tumhaare baitha tha
jaldabaazi thi tumko jaane mein

call main baar baar karta hoon
kuchh pareshaani hai uthaane mein

mujhko uska bharam to rakhna tha
mar gaya vaada ik nibhaane mein

ghalatiyaan uski kya ginaaun main
ik kasar chhodi nain sataane mein

tumne to jhat se tod daala dil
kitni mehnat ki dil banaane mein

ye batao bahut bura hoon kya
der ki itni ghar pe aane mein

vo mohabbat hai meri varna main
ik rapat kar doon uski thaane mein

उम्र निकली तुम्हें भुलाने में
क्यूँ नहीं तुम हो इस ज़माने में

सामने मैं तुम्हारे बैठा था
जल्दबाज़ी थी तुमको जाने में

कॉल मैं बार बार करता हूँ
कुछ परेशानी है उठाने में

मुझको उसका भरम तो रखना था
मर गया वादा इक निभाने में

ग़लतियाँ उसकी क्या गिनाऊँ मैं
इक कसर छोड़ी नइँ सताने में

तुमने तो झट से तोड़ डाला दिल
कितनी मेहनत की दिल बनाने में

ये बताओ बहुत बुरा हूँ क्या
देर की इतनी घर पे आने में

वो मोहब्बत है मेरी वरना मैं
इक रपट कर दूँ उसकी थाने में

  - Vaseem 'Haidar'

Valentine Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vaseem 'Haidar'

As you were reading Shayari by Vaseem 'Haidar'

Similar Writers

our suggestion based on Vaseem 'Haidar'

Similar Moods

As you were reading Valentine Shayari Shayari