ab jaan-e-jaan se meri mulaqaat kaise ho | अब जान-ए-जाँ से मेरी मुलाक़ात कैसे हो

  - Vaseem 'Haidar'

ab jaan-e-jaan se meri mulaqaat kaise ho
vo saamne hai mere magar baat kaise ho

vo ladki mujhko achhi bahut lagti hai magar
izhaar-e-ishq ki ye shurua'at kaise ho

ghar se vo saanjh hote hi baahar nikalti hai
din sochta hai khud ki yahan raat kaise ho

nikli hai mere saath bahut din ke baad vo
ab soch main raha hoon ye barsaat kaise ho

अब जान-ए-जाँ से मेरी मुलाक़ात कैसे हो
वो सामने है मेरे मगर बात कैसे हो

वो लड़की मुझको अच्छी बहुत लगती है मगर
इज़हार-ए-इश्क़ की ये शुरू'आत कैसे हो

घर से वो साँझ होते ही बाहर निकलती है
दिन सोचता है ख़ुद कि यहाँ रात कैसे हो

निकली है मेरे साथ बहुत दिन के बाद वो
अब सोच मैं रहा हूँ ये बरसात कैसे हो

  - Vaseem 'Haidar'

Aurat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vaseem 'Haidar'

As you were reading Shayari by Vaseem 'Haidar'

Similar Writers

our suggestion based on Vaseem 'Haidar'

Similar Moods

As you were reading Aurat Shayari Shayari