ye meri barbaad ab to zindagi hai | ये मिरी बरबाद अब तो ज़िंदगी है

  - Vaseem 'Haidar'

ye meri barbaad ab to zindagi hai
usne dil toda bas aur to sab sahi hai

waqt usne jaan kar mujhko diya nain
uske haathon mein to bas yoonhi ghadi hai

be-wafa ka dar mujhe bilkul nahin hai
vo bahut din mere hi dil mein rahi hai

sab ne mujhse phir kinaara kar liya tha
dost meri un dinon se teergi hai

ban-sanwar ke jab nikalti hai meri jaan
uske aage kuchh nahin ye chaandni hai

ab yahan ye jaan nikli ja rahi hai
ik use apni mohabbat ki padi hai

baat karne ka saleeqa bhi use nain
chehre par bas dekhne ki saadgi hai

barson se jo roothi baithi hai meri jaan
aaj khwaabon mein usi se baat ki hai

aati jaati rahti hai vo ladki yaaron
ek muddat se vo ladki yaad si hai

hausla mujhko bahut deti hai ik vo
yaad ik uski bade hi kaam ki hai

ये मिरी बरबाद अब तो ज़िंदगी है
उसने दिल तोड़ा बस और तो सब सही है

वक़्त उसने जान कर मुझको दिया नइँ
उसके हाथों में तो बस यूँही घड़ी है

बे-वफ़ा का डर मुझे बिलकुल नहीं है
वो बहुत दिन मेरे ही दिल में रही है

सब ने मुझसे फिर किनारा कर लिया था
दोस्त मेरी उन दिनों से तीरगी है

बन-सँवर के जब निकलती है मेरी जाँ
उसके आगे कुछ नहीं ये चाँदनी है

अब यहाँ ये जान निकली जा रही है
इक उसे अपनी मोहब्बत की पड़ी है

बात करने का सलीक़ा भी उसे नइँ
चेहरे पर बस देखने की सादगी है

बरसों से जो रूठी बैठी है मेरी जाँ
आज ख़्वाबों में उसी से बात की है

आती जाती रहती है वो लड़की यारों
एक मुद्दत से वो लड़की याद सी है

हौसला मुझको बहुत देती है इक वो
याद इक उसकी बड़े ही काम की है

  - Vaseem 'Haidar'

Zindagi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vaseem 'Haidar'

As you were reading Shayari by Vaseem 'Haidar'

Similar Writers

our suggestion based on Vaseem 'Haidar'

Similar Moods

As you were reading Zindagi Shayari Shayari