uska koi payaam aaya nahin | उसका कोई पयाम आया नहीं - Vaseem 'Haidar'

uska koi payaam aaya nahin
hisse mein koi jaam aaya nahin

main to kab se qatar mein hoon khada
mera ab tak to naam aaya nahin

usko ik shaam aana tha mere ghar
shakhs vo ek shaam aaya nahin

ham muhabbat use jataate rahe
ham ko koi bhi kaam aaya nahin

kaat di umr maine jiske liye
uska ab tak salaam aaya nahin

kaisi hai vo bataaun kaise tumhein
uska koi kalaam aaya nahin

ek muddat se hain safar mein yahan
hain dukhi uska dhaam aaya nahin

उसका कोई पयाम आया नहीं
हिस्से में कोई जाम आया नहीं

मैं तो कब से क़तार में हूँ खड़ा
मेरा अब तक तो नाम आया नहीं

उसको इक शाम आना था मिरे घर
शख़्स वो एक शाम आया नहीं

हम मुहब्बत उसे जताते रहे
हम को कोई भी काम आया नहीं

काट दी उम्र मैंने जिसके लिए
उसका अब तक सलाम आया नहीं

कैसी है वो बताऊँ कैसे तुम्हें
उसका कोई कलाम आया नहीं

एक मुद्दत से हैं सफ़र में यहाँ
हैं दुखी उसका धाम आया नहीं

- Vaseem 'Haidar'
0 Likes

Mohabbat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vaseem 'Haidar'

As you were reading Shayari by Vaseem 'Haidar'

Similar Writers

our suggestion based on Vaseem 'Haidar'

Similar Moods

As you were reading Mohabbat Shayari Shayari