ek bajte hain | एक बजते हैं - Vibhat kumar

ek bajte hain

raat ke ek bajte hain
khuda ka naam ratte hain
beemaar ke saans nahin aa rahi
koi bhi aas nahin aa rahi
phone par awaaz nahin aa rahi
maut par aaj nahin aa rahi
is afraatafri ke aalam mein
is khaamoshi se lipate gham mein
neend nahin hai rote hain
raat ke ek bajte hain
saay saay hawa ki dhun
sannaata aur adhedbun
na jaane kya hota hoga
shaayad vo chain se sota hoga
bas yahi sach ho aur sab ho jhooth
ai mere rab tu mat rooth
is raat ki subah bhi aayegi
sone ki wajah bhi aayegi
abhi bas bechain hain jagte hain
raat ke ek bajte hain

एक बजते हैं

रात के एक बजते हैं
खुदा का नाम रटते हैं
बीमार के सांस नहीं आ रही
कोई भी आस नहीं आ रही
फोन पर आवाज़ नहीं आ रही
मौत पर आज नहीं आ रही
इस अफरातफरी के आलम में
इस खामोशी से लिपटे ग़म में
नींद नहीं है, रोते हैं
रात के एक बजते हैं
साय साय हवा की धुन
सन्नाटा और अधेड़बुन
न जाने क्या होता होगा
शायद वो चैन से सोता होगा
बस यही सच हो और सब हो झूठ
ऐ मेरे रब! तू मत रूठ
इस रात की सुबह भी आएगी
सोने की वजह भी आएगी
अभी बस बेचैन हैं, जगते हैं
रात के एक बजते हैं

- Vibhat kumar
0 Likes

Hawa Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Vibhat kumar

Similar Moods

As you were reading Hawa Shayari Shayari