baara chaand gaye poonam ke pyaar bhara ik saawan bhi
gaye dinon mein saal bhi guzra aur gaya kuchh jeevan bhi
jashn jeet ka kaun manaae kaun uthaaye haar ka gham
aks mera bhi bikhra sa hai toot gaya vo darpan bhi
mere qad ko maapne waale shaayad tujh ko yaad nahin
ungli par hi uth jaata hai kabhi kabhi govardhan bhi
pehle tu aaghaaz-e-safar kar phir taaron ki dukaanon se
baali bunde jhumke paayal le doonga main kangan bhi
us ko choo kar laut raha hoon mahak raha hai jism aise
jaise mahak rahi ho dhooni kastoori aur chandan bhi
बारा चाँद गए पूनम के प्यार भरा इक सावन भी
गए दिनों में साल भी गुज़रा और गया कुछ जीवन भी
जश्न जीत का कौन मनाए कौन उठाए हार का ग़म
अक्स मिरा भी बिखरा सा है टूट गया वो दर्पन भी
मेरे क़द को मापने वाले शायद तुझ को याद नहीं
उँगली पर ही उठ जाता है कभी कभी गोवर्धन भी
पहले तू आग़ाज़-ए-सफ़र कर फिर तारों की दूकानों से
बाली बुंदे झुमके पायल ले दूँगा मैं कंगन भी
उस को छू कर लौट रहा हूँ महक रहा है जिस्म ऐसे
जैसे महक रही हो धूनी कस्तूरी और चंदन भी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vijay Sharma
our suggestion based on Vijay Sharma
As you were reading Motivational Shayari in Hindi Shayari