rahi hai yun hi nadaamat mujhe muqaddar se | रही है यूँ ही नदामत मुझे मुक़द्दर से - Vijay Sharma

rahi hai yun hi nadaamat mujhe muqaddar se
guzar rahi hai saba jis tarah mere ghar se

chadha hai shauq mujhe zabt aazmaane ka
likhoon fasana koi aaine pe patthar se

musafiron sa kabhi jab main shehar se guzra
to raaston mein kai raaste the banjar se

tumhaare gham ne duboya hai par pukaaro to
main laut aaun usi pal kisi samundar se

maze ki thand ghareebon ki aasteen mein hai
tum aa ke dekh lo footpath par bhi bistar se

रही है यूँ ही नदामत मुझे मुक़द्दर से
गुज़र रही है सबा जिस तरह मिरे घर से

चढ़ा है शौक़ मुझे ज़ब्त आज़माने का
लिखूँ फ़साना कोई आइने पे पत्थर से

मुसाफ़िरों सा कभी जब मैं शहर से गुज़रा
तो रास्तों में कई रास्ते थे बंजर से

तुम्हारे ग़म ने डुबोया है पर पुकारो तो
मैं लौट आऊँ उसी पल किसी समुंदर से

मज़े की ठण्ड ग़रीबों की आस्तीन में है
तुम आ के देख लो फ़ुटपाथ पर भी बिस्तर से

- Vijay Sharma
0 Likes

Ghar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vijay Sharma

As you were reading Shayari by Vijay Sharma

Similar Writers

our suggestion based on Vijay Sharma

Similar Moods

As you were reading Ghar Shayari Shayari