baaton baaton mein hi unwaan badal jaate hain
kitni raftaar se insaan badal jaate hain
choriyaan ho nahin paateen to yahi hota hai
apni basti ke nigahbaan badal jaate hain
koi manzil hi nahin thehre muraadein jis par
waqt badle bhi to armaan badal jaate hain
us ke daaman se umeedon ke gulon ko chun kar
zindagi ke sabhi imkaan badal jaate hain
बातों बातों में ही उनवान बदल जाते हैं
कितनी रफ़्तार से इंसान बदल जाते हैं
चोरियाँ हो नहीं पातीं तो यही होता है
अपनी बस्ती के निगहबान बदल जाते हैं
कोई मंज़िल ही नहीं ठहरें मुरादें जिस पर
वक़्त बदले भी तो अरमान बदल जाते हैं
उस के दामन से उमीदों के गुलों को चुन कर
ज़िंदगी के सभी इम्कान बदल जाते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vijay Sharma
our suggestion based on Vijay Sharma
As you were reading Justaju Shayari Shayari