ab kahaan dard jism-o-jaan mein hai | अब कहाँ दर्द जिस्म-ओ-जान में है

  - Vijay Sharma

ab kahaan dard jism-o-jaan mein hai
dafn hai dil badan dukaan mein hai

din dhale roz yun lage jaise
koi mujhsa mere makaan mein hai

dil ka kuchh bhi pata nahin chalta
haath mein hai ki aasmaan mein hai

chaanv ke pal jala diye saare
uf vo suraj jo saayebaan mein hai

kyun na tashbeeh phool ho us ki
vo jo khushboo sa daastaan mein hai

ik sawaal aur arsh baaki hai
aakhiri teer bhi kamaan mein hai

अब कहाँ दर्द जिस्म-ओ-जान में है
दफ़्न है दिल बदन दुकान में है

दिन ढले रोज़ यूँ लगे जैसे
कोई मुझसा मिरे मकान में है

दिल का कुछ भी पता नहीं चलता
हाथ में है कि आसमान में है

छाँव के पल जला दिए सारे
उफ़ वो सूरज जो साएबान में है

क्यूँ न तश्बीह फूल हो उस की
वो जो ख़ुशबू सा दास्तान में है

इक सवाल और 'अर्श' बाक़ी है
आख़िरी तीर भी कमान में है

  - Vijay Sharma

Kamar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vijay Sharma

As you were reading Shayari by Vijay Sharma

Similar Writers

our suggestion based on Vijay Sharma

Similar Moods

As you were reading Kamar Shayari Shayari