jis bhi jagah dekhi us ne apni tasveer hata li thi | जिस भी जगह देखी उस ने अपनी तस्वीर हटा ली थी - Vijay Sharma

jis bhi jagah dekhi us ne apni tasveer hata li thi
mere dil ki deewaron par deemak lagne waali thi

ek parinda udne ki koshish mein gir gir jaata tha
ghar jaana tha us ko par vo raat bahut hi kaali thi

aangan mein jo deep qataaron mein rakhe the dhuaan hue
hawa chali us raat bahut jab mere ghar diwali thi

ik muddat par ghar lautaa tha paas jab us ke baitha main
mujh mein bhi maujood nahin thi vo khud mein bhi khaali thi

arsh bahaaron mein bhi aaya ek nazaara patjhad ka
sabz shajar ke sabz tane par ik sookhi si daali thi

जिस भी जगह देखी उस ने अपनी तस्वीर हटा ली थी
मेरे दिल की दीवारों पर दीमक लगने वाली थी

एक परिंदा उड़ने की कोशिश में गिर गिर जाता था
घर जाना था उस को पर वो रात बहुत ही काली थी

आँगन में जो दीप क़तारों में रक्खे थे धुआँ हुए
हवा चली उस रात बहुत जब मेरे घर दीवाली थी

इक मुद्दत पर घर लौटा था पास जब उस के बैठा मैं
मुझ में भी मौजूद नहीं थी वो ख़ुद में भी ख़ाली थी

'अर्श' बहारों में भी आया एक नज़ारा पतझड़ का
सब्ज़ शजर के सब्ज़ तने पर इक सूखी सी डाली थी

- Vijay Sharma
0 Likes

Pollution Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vijay Sharma

As you were reading Shayari by Vijay Sharma

Similar Writers

our suggestion based on Vijay Sharma

Similar Moods

As you were reading Pollution Shayari Shayari