ye aarzoo hai raat ka manzar dikhaai de | ये आरज़ू है रात का मंज़र दिखाई दे

  - Wafa Naqvi

ye aarzoo hai raat ka manzar dikhaai de
phir aasmaan ka chaand zameen par dikhaai de

ham sair kar rahe hain khalaon ki raat-din
mumkin nahin ki koi samundar dikhaai de

meri shahaadaton ka karishma to dekhiye
ab to lahu ki boond bhi khanjar dikhaai de

mujh ko safar qubool hai lekin hai ek shart
main jis taraf bhi jaaun mera ghar dikhaai de

muddat se paaniyon ka safar kar rahe hain log
yaarab kahi to koi payambar dikhaai de

ये आरज़ू है रात का मंज़र दिखाई दे
फिर आसमाँ का चाँद ज़मीं पर दिखाई दे

हम सैर कर रहे हैं ख़लाओं की रात-दिन
मुमकिन नहीं कि कोई समुंदर दिखाई दे

मेरी शहादतों का करिश्मा तो देखिए
अब तो लहू की बूँद भी ख़ंजर दिखाई दे

मुझ को सफ़र क़ुबूल है लेकिन है एक शर्त
मैं जिस तरफ़ भी जाऊँ मिरा घर दिखाई दे

मुद्दत से पानियों का सफ़र कर रहे हैं लोग
यारब कहीं तो कोई पयम्बर दिखाई दे

  - Wafa Naqvi

Musafir Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Wafa Naqvi

As you were reading Shayari by Wafa Naqvi

Similar Writers

our suggestion based on Wafa Naqvi

Similar Moods

As you were reading Musafir Shayari Shayari