tum gaye saath ujaalon ka bhi jhoota thehra | तुम गए साथ उजालों का भी झूटा ठहरा

  - Waheed Akhtar

tum gaye saath ujaalon ka bhi jhoota thehra
roz-o-shab apna muqaddar hi andhera thehra

yaad karte nahin itna to dil-e-khaana-kharaab
bhoola-bhatka koi do roz agar aa thehra

koi ilzaam naseem-e-sehri par na gaya
phool hansne pe khatawaar akela thehra

pattiyaan rah gaeein boo le udri aawaara saba
qaafila mauj-e-bahaaraan ka bas itna thehra

roz nazaron se guzarte hain hazaaron chehre
saamne dil ke magar ek hi chehra thehra

waqt bhi sai-e-madawa-e-alam kar na saka
jab se tum bichhde ho khud waqt hai thehra thehra

dil hai vo mom mila hai jise shamon ka gudaaz
ab koi dekhe na dekhe yoonhi jalna thehra

tum ne jo sham'a jalai thi na bujhne paaye
ab to le-de ke yahi kaam hamaara thehra

gunguna lenge ghazal aaj waheed-akhtar ki
naam lena hi jo dar-parda tumhaara thehra

तुम गए साथ उजालों का भी झूटा ठहरा
रोज़-ओ-शब अपना मुक़द्दर ही अँधेरा ठहरा

याद करते नहीं इतना तो दिल-ए-ख़ाना-ख़राब
भूला-भटका कोई दो रोज़ अगर आ ठहरा

कोई इल्ज़ाम नसीम-ए-सहरी पर न गया
फूल हँसने पे ख़तावार अकेला ठहरा

पत्तियाँ रह गईं बू ले उड़ी आवारा सबा
क़ाफ़िला मौज-ए-बहाराँ का बस इतना ठहरा

रोज़ नज़रों से गुज़रते हैं हज़ारों चेहरे
सामने दिल के मगर एक ही चेहरा ठहरा

वक़्त भी सई-ए-मदावा-ए-अलम कर न सका
जब से तुम बिछड़े हो ख़ुद वक़्त है ठहरा ठहरा

दिल है वो मोम मिला है जिसे शम्ओं' का गुदाज़
अब कोई देखे न देखे यूँही जलना ठहरा

तुम ने जो शम्अ' जलाई थी न बुझने पाए
अब तो ले-दे के यही काम हमारा ठहरा

गुनगुना लेंगे ग़ज़ल आज 'वहीद'-अख़्तर की
नाम लेना ही जो दर-पर्दा तुम्हारा ठहरा

  - Waheed Akhtar

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Waheed Akhtar

As you were reading Shayari by Waheed Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Waheed Akhtar

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari