aag apne hi daaman ki zara pehle bujha lo | आग अपने ही दामन की ज़रा पहले बुझा लो

  - Waheed Akhtar

aag apne hi daaman ki zara pehle bujha lo
furqat ho to phir ham ko bhi jalne se bacha lo

ai qismat-e-farda ke khush-aaind khayalo
raatein na sahi din hi mere aa ke ujaalo

patthar ke sanam bhi kabhi kuchh bol sake hain
ai but-shikan azhaan ke khaamosh sawaalo

tum mein to mera aahoo-e-khush-gaam nahin hai
ai waadi-e-takhayul ke gum-gashta ghazaalo

mitati hui tasveer mein kya rang bharoge
mitna tha jinhen mit gaye tum khud ko sambhalo

ik dard ki daulat tumhein ham saunp chale hain
ab us ko luta do ki hayaat apni bana lo

baad-e-sehri phool khila aayi chaman mein
kuchh tum bhi lahu apne shaheedon ka uchaalo

in raahon mein vo naqsh-e-kaf-e-paa to nahin hai
kyun phoot ke roye ho yahan paanv ke chaalo

chehre pe thakan baalon mein gard aankhon mein surkhi
lamba hai safar paanv ke kaante to nikaalo

phir saa'at-e-deedaar waheed aaye na aaye
tasveer bana kar unhen aankhon mein chhupa lo

आग अपने ही दामन की ज़रा पहले बुझा लो
फ़ुर्सत हो तो फिर हम को भी जलने से बचा लो

ऐ क़िस्मत-ए-फ़र्दा के ख़ुश-आइंद ख़यालो
रातें न सही दिन ही मिरे आ के उजालो

पत्थर के सनम भी कभी कुछ बोल सके हैं
ऐ बुत-शिकन अज़हान के ख़ामोश सवालो

तुम में तो मिरा आहू-ए-ख़ुश-गाम नहीं है
ऐ वादी-ए-तख़ईल के गुम-गश्ता ग़ज़ालो

मिटती हुई तस्वीर में क्या रंग भरोगे
मिटना था जिन्हें मिट गए तुम ख़ुद को सँभालो

इक दर्द की दौलत तुम्हें हम सौंप चले हैं
अब उस को लुटा दो कि हयात अपनी बना लो

बाद-ए-सहरी फूल खिला आई चमन में
कुछ तुम भी लहू अपने शहीदों का उछालो

इन राहों में वो नक़्श-ए-कफ़-ए-पा तो नहीं है
क्यूँ फूट के रोए हो यहाँ पाँव के छालो

चेहरे पे थकन बालों में गर्द आँखों में सुर्ख़ी
लम्बा है सफ़र पाँव के काँटे तो निकालो

फिर साअ'त-ए-दीदार 'वहीद' आए न आए
तस्वीर बना कर उन्हें आँखों में छुपा लो

  - Waheed Akhtar

Greed Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Waheed Akhtar

As you were reading Shayari by Waheed Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Waheed Akhtar

Similar Moods

As you were reading Greed Shayari Shayari