andhera itna nahin hai ki kuchh dikhaai na de | अँधेरा इतना नहीं है कि कुछ दिखाई न दे

  - Waheed Akhtar

andhera itna nahin hai ki kuchh dikhaai na de
sukoot aisa nahin hai jo kuchh sunaai na de

jo sunna chaaho to bol uthhenge andhere bhi
na sunna chaaho to dil ki sada sunaai na de

jo dekhna ho to aaina-khaana hai ye sukoot
ho aankh band to ik naqsh bhi dikhaai na de

ye roohen is liye chehron se khud ko dhaanpe hain
mile zameer to ilzaam-e-bewafaai na de

kuchh aise log bhi tanhaa hujoom mein hain chhupe
ki zindagi unhen pehchaan kar duhaai na de

hoon apne-aap se bhi ajnabi zamaane ke saath
ab itni sakht saza dil ki aashnaai na de

sabhi ke zehan hain maqrooz kya qadeem o jadeed
khud apna naqd-e-dil-o-jaan kahi dikhaai na de

bahut hai fursat-e-deewangi ki hasrat bhi
waheed waqt gar izn-e-ghazal-saraai na de

अँधेरा इतना नहीं है कि कुछ दिखाई न दे
सुकूत ऐसा नहीं है जो कुछ सुनाई न दे

जो सुनना चाहो तो बोल उट्ठेंगे अँधेरे भी
न सुनना चाहो तो दिल की सदा सुनाई न दे

जो देखना हो तो आईना-ख़ाना है ये सुकूत
हो आँख बंद तो इक नक़्श भी दिखाई न दे

ये रूहें इस लिए चेहरों से ख़ुद को ढाँपे हैं
मिले ज़मीर तो इल्ज़ाम-ए-बेवफ़ाई न दे

कुछ ऐसे लोग भी तन्हा हुजूम में हैं छुपे
कि ज़िंदगी उन्हें पहचान कर दुहाई न दे

हूँ अपने-आप से भी अजनबी ज़माने के साथ
अब इतनी सख़्त सज़ा दिल की आश्नाई न दे

सभी के ज़ेहन हैं मक़रूज़ क्या क़दीम ओ जदीद
ख़ुद अपना नक़्द-ए-दिल-ओ-जां कहीं दिखाई न दे

बहुत है फ़ुर्सत-ए-दीवानगी की हसरत भी
'वहीद' वक़्त गर इज़्न-ए-ग़ज़ल-सराई न दे

  - Waheed Akhtar

Hasrat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Waheed Akhtar

As you were reading Shayari by Waheed Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Waheed Akhtar

Similar Moods

As you were reading Hasrat Shayari Shayari