jis ko maana tha khuda khaak ka paikar nikla | जिस को माना था ख़ुदा ख़ाक का पैकर निकला

  - Waheed Akhtar

jis ko maana tha khuda khaak ka paikar nikla
haath aaya jo yaqeen vaham saraasar nikla

ik safar dasht-e-kharaabi se saraabo tak hai
aankh khuli to jahaan khwaab ka manzar nikla

kal jahaan zulm ne kaatee theen saroon ki faslen
nam hui hai to usi khaak se lashkar nikla

khushk aankhon se uthi mauj to duniya doobi
ham jise samjhe the sehra vo samundar nikla

zer-e-paa ab na zameen hai na falak hai sar par
sail-e-takhleeq bhi girdaab ka manzar nikla

gum hain jibreel o nabi gum hain kitaab o eemaan
aasmaan khud bhi khalaon ka samundar nikla

arsh par aaj utarti hai zameenon ki wahi
kurra-e-khaak sitaaron se munavvar nikla

har payambar se sahife ka taqaza na hua
haq ka ye qarz bhi nikla to humeen par nikla

goonj utha naghma-e-kun dasht-e-tamanna mein waheed
paa-e-wahshat had-e-imkaan se jo baahar nikla

जिस को माना था ख़ुदा ख़ाक का पैकर निकला
हाथ आया जो यक़ीं वहम सरासर निकला

इक सफ़र दश्त-ए-ख़राबी से सराबों तक है
आँख खोली तो जहाँ ख़्वाब का मंज़र निकला

कल जहाँ ज़ुल्म ने काटी थीं सरों की फ़सलें
नम हुई है तो उसी ख़ाक से लश्कर निकला

ख़ुश्क आँखों से उठी मौज तो दुनिया डूबी
हम जिसे समझे थे सहरा वो समुंदर निकला

ज़ेर-ए-पा अब न ज़मीं है न फ़लक है सर पर
सैल-ए-तख़्लीक़ भी गिर्दाब का मंज़र निकला

गुम हैं जिबरील ओ नबी गुम हैं किताब ओ ईमाँ
आसमाँ ख़ुद भी ख़लाओं का समुंदर निकला

अर्श पर आज उतरती है ज़मीनों की वही
कुर्रा-ए-ख़ाक सितारों से मुनव्वर निकला

हर पयम्बर से सहीफ़े का तक़ाज़ा न हुआ
हक़ का ये क़र्ज़ भी निकला तो हमीं पर निकला

गूँज उठा नग़्मा-ए-कुन दश्त-ए-तमन्ना में 'वहीद'
पा-ए-वहशत हद-ए-इम्काँ से जो बाहर निकला

  - Waheed Akhtar

Freedom Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Waheed Akhtar

As you were reading Shayari by Waheed Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Waheed Akhtar

Similar Moods

As you were reading Freedom Shayari Shayari