deewaanon ko manzil ka pata yaad nahin hai | दीवानों को मंज़िल का पता याद नहीं है

  - Waheed Akhtar

deewaanon ko manzil ka pata yaad nahin hai
jab se tira naqsh-e-kaf-e-paa yaad nahin hai

afsurdagi-e-ishq ke khulte nahin asbaab
kya baat bhula baithe hain kya yaad nahin hai

ham dil-zadgaan jeete hain yaadon ke sahaare
haan mit gaye jis par vo ada yaad nahin hai

ghar apna to bhooli hi thi aashuftagi-e-dil
khud-rafta ko ab dar bhi tira yaad nahin hai

lete hain tira naam hi yun jaagte sote
jaise ki hamein apna khuda yaad nahin hai

ye ek hi ehsaan-e-gham dost hai kya kam
be-mehri-e-dauraan ki jafaa yaad nahin hai

be-barse guzar jaate hain umde hue baadal
jaise unhen mera hi pata yaad nahin hai

is baar waheed aap ki aankhen nahin barsi
kya jhoomti zulfon ki ghatta yaad nahin hai

दीवानों को मंज़िल का पता याद नहीं है
जब से तिरा नक़्श-ए-कफ़-ए-पा याद नहीं है

अफ़्सुर्दगी-ए-इश्क़ के खुलते नहीं अस्बाब
क्या बात भुला बैठे हैं क्या याद नहीं है

हम दिल-ज़दगाँ जीते हैं यादों के सहारे
हाँ मिट गए जिस पर वो अदा याद नहीं है

घर अपना तो भूली ही थी आशुफ़्तगी-ए-दिल
ख़ुद-रफ़्ता को अब दर भी तिरा याद नहीं है

लेते हैं तिरा नाम ही यूँ जागते सोते
जैसे कि हमें अपना ख़ुदा याद नहीं है

ये एक ही एहसान-ए-ग़म दोस्त है क्या कम
बे-मेहरी-ए-दौराँ की जफ़ा याद नहीं है

बे-बरसे गुज़र जाते हैं उमडे हुए बादल
जैसे उन्हें मेरा ही पता याद नहीं है

इस बार 'वहीद' आप की आँखें नहीं बरसीं
क्या झूमती ज़ुल्फ़ों की घटा याद नहीं है

  - Waheed Akhtar

Baaten Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Waheed Akhtar

As you were reading Shayari by Waheed Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Waheed Akhtar

Similar Moods

As you were reading Baaten Shayari Shayari