ham ko manzoor tumhaara jo na parda hota
saara ilzaam sar apne hi na aaya hota
dost-ahbaab bhi be-gaane nazar aate hain
kaash ik shakhs ko itna bhi na chaaha hota
muft maanga tha kisi ne so use bakhsh diya
aisa sasta bhi na tha dil jise becha hota
jaan kar ham ne kiya khud ko kharaab-o-ruswa
warna ham vo the farishton ne bhi pooja hota
ahl-e-duniya ko bahut ham se bhi ummeedein theen
zindagi tujh se magar apna na jhagda hota
naaseho ham ko bhi anjaam-e-junoon hai maaloom
us ko samjhaao jo ye sab na samajhta hota
vo khird-mand vo baahosh waheed aaj kahaan
milne waalon se kabhi tum ne ye poocha hota
हम को मंज़ूर तुम्हारा जो न पर्दा होता
सारा इल्ज़ाम सर अपने ही न आया होता
दोस्त-अहबाब भी बे-गाने नज़र आते हैं
काश इक शख़्स को इतना भी न चाहा होता
मुफ़्त माँगा था किसी ने सो उसे बख़्श दिया
ऐसा सस्ता भी न था दिल जिसे बेचा होता
जान कर हम ने किया ख़ुद को ख़राब-ओ-रुसवा
वर्ना हम वो थे फ़रिश्तों ने भी पूजा होता
अहल-ए-दुनिया को बहुत हम से भी उम्मीदें थीं
ज़िंदगी तुझ से मगर अपना न झगड़ा होता
नासेहो हम को भी अंजाम-ए-जुनूँ है मालूम
उस को समझाओ जो ये सब न समझता होता
वो ख़िरद-मंद वो बाहोश 'वहीद' आज कहाँ
मिलने वालों से कभी तुम ने ये पूछा होता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Waheed Akhtar
our suggestion based on Waheed Akhtar
As you were reading Nazar Shayari Shayari