kabhi khushk mausam mein purva jo chalti
to banjar pahaadon ghane gard-aalood shehron se katara ke
ham tak pahunchti
hamein tund yaadon ke girdaab main
doobte aur ubharte hue dekh kar ham se kahti
main un sab ke jismoon se mas ho ke aayi hoon
un ke paseene ki khushboo ko
apne libaade mein bhar kar
hatheli pe rakh kar main laai hoon
kabhi surkh suraj nikalta
to ham us se kahte
tumhaari dahakti hui aankh ka raaz kya hai
vo kehta
main in sab ki aankhon ke ghurfon se
ye saari ujli tamaazat churaata raha hoon
main daryooza-gar un charaagon se khud ko jalata raha hoon
unhen ham ne dhoonda
kabhi sabz shabnam ke chheenton mein taaron ki roti hui anjuman main
kabhi subh ki qatl-gaah shab ke ghaayal badan mein
unhen ham ne awaaz di koo-b-koo
gham mein doobi hui bastiyon se atte khaak-daan-e-watan mein
magar vo nahin the kahi bhi nahin the
kahi un ke qadmon ki halki si awaaz tak bhi nahin thi
phir ik roz dharti ka mausam jo badla
to baadal ne shaanon se ham ko hila kar jagaaya
kaha un ke aane ka paighaam aaya
chahakte parindon ne shaakhon se ud kar
hawaon mein ik dayra sa banaya
kaha un ke aane ka paighaam aaya
dhanak saath rangon mein lipti hui
ik kamaan ban ke zaahir hui
ham se kehne lagi apni aankhon se dekha hai main ne unhen
tez qadmon se aate hue
shaam hansne lagi
us ki aankhon mein khushiyon ke aansu the
aariz pe shabnam
nageenon ki soorat chamakne lagi thi
कभी ख़ुश्क मौसम में पुर्वा जो चलती
तो बंजर पहाड़ों घने गर्द-आलूद शहरों से कतरा के
हम तक पहुँचती
हमें तुंद यादों के गिर्दाब मैं
डूबते और उभरते हुए देख कर हम से कहती
मैं उन सब के जिस्मों से मस हो के आई हूँ
उन के पसीने की ख़ुश्बू को
अपने लिबादे में भर कर
हथेली पे रख कर मैं लाई हूँ
कभी सुर्ख़ सूरज निकलता
तो हम उस से कहते
तुम्हारी दहकती हुई आँख का राज़ क्या है
वो कहता
मैं इन सब की आँखों के ग़ुर्फों से
ये सारी उजली तमाज़त चुराता रहा हूँ
मैं दरयूज़ा-गर उन चराग़ों से ख़ुद को जलाता रहा हूँ
उन्हें हम ने ढूँडा
कभी सब्ज़ शबनम के छींटों में तारों की रोती हुई अंजुमन मैं
कभी सुब्ह की क़त्ल-गाह शब के घायल बदन में
उन्हें हम ने आवाज़ दी कू-ब-कू
ग़म में डूबी हुई बस्तियों से अटे ख़ाक-दान-ए-वतन में
मगर वो नहीं थे कहीं भी नहीं थे
कहीं उन के क़दमों की हल्की सी आवाज़ तक भी नहीं थी
फिर इक रोज़ धरती का मौसम जो बदला
तो बादल ने शानों से हम को हिला कर जगाया
कहा उन के आने का पैग़ाम आया
चहकते परिंदों ने शाख़ों से उड़ कर
हवाओं में इक दायरा सा बनाया
कहा उन के आने का पैग़ाम आया
धनक सात रंगों में लिपटी हुई
इक कमाँ बन के ज़ाहिर हुई
हम से कहने लगी अपनी आँखों से देखा है मैं ने उन्हें
तेज़ क़दमों से आते हुए
शाम हँसने लगी
उस की आँखों में ख़ुशियों के आँसू थे
आरिज़ पे शबनम
नगीनों की सूरत चमकने लगी थी
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Wazir Agha
As you were reading Badan Shayari Shayari