subh-savere
ek larzatee kaanpati si awaaz aati hai
sone waalo tum maalik ko bhool gaye ho
tum maalik ko bhool gaye ho
phir chamkeeli mil ka sayran
ek ghaleez daraane waali tund sada ke roop mein dhal kar
deewaron se takraata hai
aur galiyon ke
tang andhere baade mein kohraam macha kar
bhedon ke galle ko haank ke le jaata hai
phir engine ki barham seeti
mekh si ban kar mere kaan mein gad jaati hai
aur shab bhar ki nuchi hui ik rail ki bogi
apni kalaaee engine ke panje mein de kar
chal padti hai
phir ik dam ik sannaata sa chha jaata hai
aur main ghadi ki zalim sooiyon ki tik tik mein
din ke zard pahaad pe chadhne lagta hoon
सुब्ह-सवेरे
एक लरज़ती काँपती सी आवाज़ आती है
सोने वालो! तुम मालिक को भूल गए हो
तुम मालिक को भूल गए हो
फिर चमकीली मिल का सायरन
एक ग़लीज़ डराने वाली तुंद सदा के रूप में ढल कर
दीवारों से टकराता है
और गलियों के
तंग अँधेरे बाड़े में कोहराम मचा कर
भेड़ों के गल्ले को हाँक के ले जाता है
फिर इंजन की बरहम सीटी
मेख़ सी बन कर मेरे कान में गड़ जाती है
और शब भर की नुची हुई इक रेल की बोगी
अपनी कलाई इंजन के पंजे में दे कर
चल पड़ती है
फिर इक दम इक सन्नाटा सा छा जाता है
और मैं घड़ी की ज़ालिम सूइयों की टिक टिक में
दिन के ज़र्द पहाड़ पे चढ़ने लगता हूँ
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Wazir Agha
As you were reading Bekhabri Shayari Shayari