aane waale | आने वाले

  - Wazir Agha

aane waale
nanhe munne
sab khwaabon se kahti hai vo
aa jaao
aur aa kar dekho
kitne log tumhaari khaatir
jaane kab se jaag rahe hain

par jab aane waale us ke
naram mulaayem resham aise
haathon ki poron se chimte
aa jaate hain
vo tan kar kahti hai dekho
main ne tum ko janam diya hai
maa kah kar
tum mujhe pukaaro
aur vo us ke
resham aise haathon mein rone lagte hain
bichhdi maa ki
doodh bhari chaati ki khaatir
ik kohraam bapaa karte hain
lekin vo sunti hi kahaan hai
apne banjar seene se chimta kar un ko
poore zor se cheekhti hai
tum mere ho
tum mere ho

आने वाले
नन्हे मुन्ने
सब ख़्वाबों से कहती है वो
आ जाओ
और आ कर देखो
कितने लोग तुम्हारी ख़ातिर
जाने कब से जाग रहे हैं

पर जब आने वाले उस के
नरम मुलाएम रेशम ऐसे
हाथों की पोरों से चिमटे
आ जाते हैं
वो तन कर कहती है देखो
मैं ने तुम को जन्म दिया है
माँ कह कर
तुम मुझे पुकारो
और वो उस के
रेशम ऐसे हाथों में रोने लगते हैं
बिछड़ी माँ की
दूध भरी छाती की ख़ातिर
इक कोहराम बपा करते हैं
लेकिन वो सुनती ही कहाँ है
अपने बंजर सीने से चिमटा कर उन को
पूरे ज़ोर से चीख़ती है
तुम मेरे हो
तुम मेरे हो

  - Wazir Agha

Shama Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Wazir Agha

Similar Moods

As you were reading Shama Shayari Shayari