tez talwaar ki dhaar aisi sada
qatra qatra mere khoon mein
pighle se ke maanind girti rahi
meri rag rag mein ghul kar bikhrti rahi
aur phire hue tund zarroon ki soorat
mere jism mein daudti jhanjhnaati firee
subh hone ko hai
koi dam mein ye zakhamon bhari raat ki garm chadar
ujaale ke saabun mein dhul kar nikhar aayegi
har taraf narm-o-naazuk si khushiyon ke chheente
kiwaadon ko chhedenge sulaayenge
phool khil jaayenge
qahqahon chahchahon ki jwaalaa
syaahi ke dhabbon ko kha jaayegi
sochta hoon
ye ik tez si dhaar aisi chamakti sada
jis ki kirchen meri ek ik rag mein
panjo ko gaade khadi hain
kahaan jaayegi
itni sadiyon ke ban-baas ko jhel kar
apne ghar aayi naari se ab kis tarah main kahoon
jaao
ye ghar to khushiyon ki raani ka ghar hai
तेज़ तलवार की धार ऐसी सदा
क़तरा क़तरा मिरे ख़ून में
पिघले से के मानिंद गिरती रही
मेरी रग रग में घुल कर बिखरती रही
और फिरे हुए तुंद ज़र्रों की सूरत
मिरे जिस्म में दौड़ती झनझनाती फिरी
सुब्ह होने को है
कोई दम में ये ज़ख़्मों भरी रात की गर्म चादर
उजाले के साबुन में धुल कर निखर आएगी
हर तरफ़ नर्म-ओ-नाज़ुक सी ख़ुशियों के छींटे
किवाड़ों को छेड़ेंगे सुलाएँगे
फूल खिल जाएँगे
क़हक़हों चहचहों की ज्वाला
स्याही के धब्बों को खा जाएगी
सोचता हूँ
ये इक तेज़ सी धार ऐसी चमकती सदा
जिस की किर्चें मिरी एक इक रग में
पंजों को गाड़े खड़ी हैं
कहाँ जाएगी
इतनी सदियों के बन-बास को झेल कर
अपने घर आई नारी से अब किस तरह मैं कहूँ
जाओ
ये घर तो ख़ुशियों की रानी का घर है
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Wazir Agha
As you were reading Aawargi Shayari Shayari