samundar agar mere andar aa gire
tu paayaab lehron mein dhal ke sulagne lage
pyaas ke be-nishaan dasht mein
whale machhli ki soorat tadapne lage
haarpoonon se nezon se chhalni badan par
dahakti hui ret ke tez char ke sahe
aur phir ret par jhaag ke kuchh nishaan chhod kar
ta-abad sar-bureeda se saahil ke saaye mein
hone na hone ki meethi aziyyat mein khoya rahe
ye hone na hone ki meethi aziyyat bhi kya hai
nigaahen uthaaun to hadd-e-nazar tak
azal aur abad ke sutoonon pe baarik sa ek khema tanaa hai
na hone ka ye roop kitna naya hai
aur kheme ke andar
karodon sitaaron ka mela laga hai
ye hone ka bharoop la-intihaa hai
mera jism
resham ka sad-chaak khema
kisi be-karaan dasht mein be-sahaara khada hai
magar jab main aankhen jhukaauñ
to us sard kheme ke andar
karodon tadpate hue tund zarroon ka ik dasht faila hua hai
ye hone na hone ki meethi aziyyat
ajab maajra hai
समुंदर अगर मेरे अंदर आ गिरे
तू पायाब लहरों में ढल के सुलगने लगे
प्यास के बे-निशाँ दश्त में
व्हेल मछली की सूरत तड़पने लगे
हारपूनों से नेज़ों से छलनी बदन पर
दहकती हुई रेत के तेज़ चर के सहे
और फिर रेत पर झाग के कुछ निशाँ छोड़ कर
ता-अबद सर-बुरीदा से साहिल के साए में
होने न होने की मीठी अज़िय्यत में खोया रहे
ये होने न होने की मीठी अज़िय्यत भी क्या है
निगाहें उठाऊँ तो हद्द-ए-नज़र तक
अज़ल और अबद के सुतूनों पे बारीक सा एक ख़ेमा तना है
न होने का ये रूप कितना नया है
और खे़मे के अंदर
करोड़ों सितारों का मेला लगा है
ये होने का बहरूप ला-इंतिहा है
मिरा जिस्म
रेशम का सद-चाक ख़ेमा
किसी बे-कराँ दश्त में बे-सहारा खड़ा है
मगर जब मैं आँखें झुकाऊँ
तो उस सर्द खे़मे के अंदर
करोड़ों तड़पते हुए तुंद ज़र्रों का इक दश्त फैला हुआ है
ये होने न होने की मीठी अज़िय्यत
अजब माजरा है
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Wazir Agha
As you were reading Kamar Shayari Shayari