chaand ka noor sitaaron ki ziya ban jaaun
sochta hoon ki tiri bazm mein kya ban jaaun
saaz-e-dil-soz ki dil-geer sada ban jaaun
tu bane naghma to main naghma-saraa ban jaaun
zauq-e-sajda ka taqaza hai ki dar par tere
itna mit jaaun ki naqsh-e-kaf-e-paa ban jaaun
yun hi deta rahe awaaz agar dil nashtar
apni manzil ka main khud raah-numa ban jaaun
चाँद का नूर सितारों की ज़िया बन जाऊँ
सोचता हूँ कि तिरी बज़्म में क्या बन जाऊँ
साज़-ए-दिल-सोज़ की दिल-गीर सदा बन जाऊँ
तू बने नग़्मा तो मैं नग़्मा-सरा बन जाऊँ
ज़ौक़-ए-सज्दा का तक़ाज़ा है कि दर पर तेरे
इतना मिट जाऊँ कि नक़्श-ए-कफ़-ए-पा बन जाऊँ
यूँ ही देता रहे आवाज़ अगर दिल 'नश्तर'
अपनी मंज़िल का मैं ख़ुद राह-नुमा बन जाऊँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Yadgar Husain Nashtar Khairabadi
our suggestion based on Yadgar Husain Nashtar Khairabadi
As you were reading Charagh Shayari Shayari