fariyaad nahin shukr-e-sitam karte rahenge | फ़रियाद नहीं शुक्र-ए-सितम करते रहेंगे

  - Yadgar Husain Nashtar Khairabadi

fariyaad nahin shukr-e-sitam karte rahenge
ham khud unhen majboor-e-karam karte rahenge

ka'be ko shikaayat hai to ho apne khuda se
sajde to dar-e-yaar pe ham karte rahenge

duniya ko sunaane ke liye she'r ki soorat
jo ham pe guzarti hai raqam karte rahenge

may-khaana salaamat rahe ham door se nashtar
nazzaargi-e-dair-o-haram karte rahenge

फ़रियाद नहीं शुक्र-ए-सितम करते रहेंगे
हम ख़ुद उन्हें मजबूर-ए-करम करते रहेंगे

का'बे को शिकायत है तो हो अपने ख़ुदा से
सज्दे तो दर-ए-यार पे हम करते रहेंगे

दुनिया को सुनाने के लिए शे'र की सूरत
जो हम पे गुज़रती है रक़म करते रहेंगे

मय-ख़ाना सलामत रहे हम दूर से 'नश्तर'
नज़्ज़ारगी-ए-दैर-ओ-हरम करते रहेंगे

  - Yadgar Husain Nashtar Khairabadi

Khuda Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Yadgar Husain Nashtar Khairabadi

As you were reading Shayari by Yadgar Husain Nashtar Khairabadi

Similar Writers

our suggestion based on Yadgar Husain Nashtar Khairabadi

Similar Moods

As you were reading Khuda Shayari Shayari