sab kuchh meri qismat ka tere dar ke qareen hai
jeena bhi yahin hai mujhe marna bhi yahin hai
aalam se niraala hai tere husn ka aalam
tu khud bhi haseen teri mohabbat bhi haseen hai
waiz ki zabaan aur ye jannat ke fasaane
kambakht ne may-khaana to dekha hi nahin hai
nashtar ko gunaahon ki jazaa mil ke rahegi
us ko tiri rahmat pe bharosa hai yaqeen hai
सब कुछ मिरी क़िस्मत का तेरे दर के क़रीं है
जीना भी यहीं है मुझे मरना भी यहीं है
आलम से निराला है तेरे हुस्न का आलम
तू ख़ुद भी हसीं तेरी मोहब्बत भी हसीं है
वाइज़ की ज़बाँ और ये जन्नत के फ़साने
कम्बख़्त ने मय-ख़ाना तो देखा ही नहीं है
'नश्तर' को गुनाहों की जज़ा मिल के रहेगी
उस को तिरी रहमत पे भरोसा है यक़ीं है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Yadgar Husain Nashtar Khairabadi
our suggestion based on Yadgar Husain Nashtar Khairabadi
As you were reading Eitbaar Shayari Shayari