dil ajab jalwa-e-ummeed dikhaata hai mujhe | दिल अजब जल्वा-ए-उम्मीद दिखाता है मुझे

  - Yagana Changezi

dil ajab jalwa-e-ummeed dikhaata hai mujhe
shaam se yaas savera nazar aata hai mujhe

jalwa-e-daar-o-rasan apne naseebon mein kahaan
kaun duniya ki nigaahon pe chadhata hai mujhe

dil ko lehraata hai hangaama-e-zindaan-e-bala
shor-e-eeza-talbi vajd mein laata hai mujhe

paa-e-aazaad hai zindaan ke chalan se baahar
bediyaan kyun koi deewaana pahnaata hai mujhe

hans ke kehta hai ki ghar apna qafas ko samjho
sabq ulta mera sayyaad padhaata hai mujhe

jaise dozakh ki hawa kha ke abhi aaya hai
kis qadar waiz-e-makkaar daraata hai mujhe

phat pade ab hi dar-o-baam to parda rah jaaye
falak-e-khaana-kharaab aankh dikhaata hai mujhe

deedaani hai chaman-aaraai-e-chashm-e-ibrat
sair-e-tazaa gul-e-pazmurda dikhaata hai mujhe

tark-e-matlub se hai matlab to duaaein kaisi
subh tak kyun dil-e-beemaar jagaata hai mujhe

nang-e-mehfil mera zinda mera murda bhari
kaun uthaata hai mujhe kaun bithaata hai mujhe

lab-e-dariya ka hua main na tah-e-dariyaa ka
kaun se ghaat ye dhaara liye jaata hai mujhe

paanv soye hain magar jaagte hain apne naseeb
kya samajh kar jars-e-gung jagaata hai mujhe

yaas manzil hai meri manzil-e-anaqa-e-kamaal
lucknow mein koi kyun dhoondhne aata hai mujhe

दिल अजब जल्वा-ए-उम्मीद दिखाता है मुझे
शाम से 'यास' सवेरा नज़र आता है मुझे

जल्वा-ए-दार-ओ-रसन अपने नसीबों में कहाँ
कौन दुनिया की निगाहों पे चढ़ाता है मुझे

दिल को लहराता है हंगामा-ए-ज़िंदान-ए-बला
शोर-ए-ईज़ा-तलबी वज्द में लाता है मुझे

पा-ए-आज़ाद है ज़िंदाँ के चलन से बाहर
बेड़ियाँ क्यूँ कोई दीवाना पहनाता है मुझे

हँस के कहता है कि घर अपना क़फ़स को समझो
सबक़ उल्टा मिरा सय्याद पढ़ाता है मुझे

जैसे दोज़ख़ की हवा खा के अभी आया है
किस क़दर वाइज़-ए-मक्कार डराता है मुझे

फट पड़ें अब ही दर-ओ-बाम तो पर्दा रह जाए
फ़लक-ए-ख़ाना-ख़राब आँख दिखाता है मुझे

दीदनी है चमन-आराई-ए-चश्म-ए-इबरत
सैर-ए-ताज़ा गुल-ए-पज़मुर्दा दिखाता है मुझे

तर्क-ए-मतलब से है मतलब तो दुआएँ कैसी
सुब्ह तक क्यूँ दिल-ए-बीमार जगाता है मुझे

नंग-ए-महफ़िल मिरा ज़िंदा मिरा मुर्दा भारी
कौन उठाता है मुझे कौन बिठाता है मुझे

लब-ए-दरिया का हुआ मैं न तह-ए-दरिया का
कौन से घाट ये धारा लिए जाता है मुझे

पाँव सोए हैं मगर जागते हैं अपने नसीब
क्या समझ कर जरस-ए-गुंग जगाता है मुझे

'यास' मंज़िल है मिरी मंज़िल-ए-अनक़ा-ए-कमाल
लखनऊ में कोई क्यूँ ढूँडने आता है मुझे

  - Yagana Changezi

Naqab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Yagana Changezi

As you were reading Shayari by Yagana Changezi

Similar Writers

our suggestion based on Yagana Changezi

Similar Moods

As you were reading Naqab Shayari Shayari