koi baadal tapish-e-gham se pighlata hi nahin | कोई बादल तपिश-ए-ग़म से पिघलता ही नहीं

  - Yaqoob Rahi

koi baadal tapish-e-gham se pighlata hi nahin
aur dil hai ki kisi tarah bahalta hi nahin

sab yahan baithe hain thithure hue jammu ko liye
dhoop ki khoj mein ab koi nikalta hi nahin

sirf ik main hoon jo har roz naya lagta hoon
warna is shehar mein to koi badalta hi nahin

कोई बादल तपिश-ए-ग़म से पिघलता ही नहीं
और दिल है कि किसी तरह बहलता ही नहीं

सब यहाँ बैठे हैं ठिठुरे हुए जम्मू को लिए
धूप की खोज में अब कोई निकलता ही नहीं

सिर्फ़ इक मैं हूँ जो हर रोज़ नया लगता हूँ
वर्ना इस शहर में तो कोई बदलता ही नहीं

  - Yaqoob Rahi

Shahr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Yaqoob Rahi

As you were reading Shayari by Yaqoob Rahi

Similar Writers

our suggestion based on Yaqoob Rahi

Similar Moods

As you were reading Shahr Shayari Shayari