mohabbat ka koi to paimaan hota
ki jin pe hamein bhi bahut maan hota
kabhi itne arzaan na hote jahaan mein
hamein zindagi ka jo irfaan hota
tujhe kaash rakhte tasavvur mein apne
ki in ke bahlne ka samaan hota
rah-e-zindagi mein kabhi na kabhi to
tujhe dhundh lete jo imkaan hota
kisi se ta'alluq banaate na itna
kisi se na milne ka armaan hota
agar apni mitti pe yaaseen rahte
kahaan hijraton ka ye toofaan hota
मोहब्बत का कोई तो पैमान होता
कि जिन पे हमें भी बहुत मान होता
कभी इतने अर्ज़ां न होते जहाँ में
हमें ज़िंदगी का जो इरफ़ान होता
तुझे काश रखते तसव्वुर में अपने
कि इन के बहलने का सामान होता
रह-ए-ज़िंदगी में कभी न कभी तो
तुझे ढूँड लेते जो इम्कान होता
किसी से तअ'ल्लुक़ बनाते न इतना
किसी से न मिलने का अरमान होता
अगर अपनी मिट्टी पे 'यासीन' रहते
कहाँ हिजरतों का ये तूफ़ान होता
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Yaseen Bhatti
As you were reading Fantasy Shayari Shayari