gham ki tarteeb saleeqe se laga saka tha
ya'ni main roz tira hijr manaa saka tha
sabr ne cheekh gale se nahin aage bheji
warna deewaana bahut shor macha saka tha
ghairat-e-ishq ne patthar ka banaya mujh ko
warna main khaak wahan ud ke bhi ja saka tha
tangi-e-daaman-e-sad-chaak tira kya rona
main numaish mein faqat zakham dikha saka tha
teri nafrat se agar thodi si furqat milti
main mohabbat mein bahut naam kama saka tha
aap be-kaar samajh kar jise chhod aaye hain
ik wahi shakhs meri jaan bacha saka tha
us ki ma'soom tabi'at ki haya ne roka
warna main us ko bade khwaab dikha saka tha
ye to us chehra-e-pur-noor ka jaadu samjho
warna darvesh kahaan jaal mein aa saka tha
yoonhi zahmat se akela mujhe barbaad kiya
zindagaani main tira haath bata saka tha
tum hi tahseen meri qadr nahin kar paaye
main to vo tha jo gaya waqt bhi la saka tha
ग़म की तरतीब सलीक़े से लगा सकता था
या'नी मैं रोज़ तिरा हिज्र मना सकता था
सब्र ने चीख़ गले से नहीं आगे भेजी
वर्ना दीवाना बहुत शोर मचा सकता था
ग़ैरत-ए-इश्क़ ने पत्थर का बनाया मुझ को
वर्ना मैं ख़ाक वहाँ उड़ के भी जा सकता था
तंगी-ए-दामन-ए-सद-चाक तिरा क्या रोना
मैं नुमाइश में फ़क़त ज़ख़्म दिखा सकता था
तेरी नफ़रत से अगर थोड़ी सी फ़ुर्सत मिलती
मैं मोहब्बत में बहुत नाम कमा सकता था
आप बे-कार समझ कर जिसे छोड़ आए हैं
इक वही शख़्स मिरी जान बचा सकता था
उस की मा'सूम तबीअ'त की हया ने रोका
वर्ना मैं उस को बड़े ख़्वाब दिखा सकता था
ये तो उस चेहरा-ए-पुर-नूर का जादू समझो
वर्ना दरवेश कहाँ जाल में आ सकता था
यूँही ज़हमत से अकेले मुझे बर्बाद किया
ज़िंदगानी मैं तिरा हाथ बटा सकता था
तुम ही 'तहसीन' मिरी क़द्र नहीं कर पाए
मैं तो वो था जो गया वक़्त भी ला सकता था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Yunus Tahseen
our suggestion based on Yunus Tahseen
As you were reading Tanhai Shayari Shayari