hurmat-e-ishq tujhe daagh lagaane ka nahin
baat banti na bane baat se jaane ka nahin
ya-khuda khair ki ham dono ana waale hain
vo bulane ka nahin aur main jaane ka nahin
vahshati hoon so garebaan ko aa saka hoon
mujh se darne ka magar mujh ko daraane ka nahin
boodhe aa'saab kahaan sahte hain aulaad ka dukh
meri takleef meri maa ko bataane ka nahin
ham to ik aisi zameen par hain jahaan laashein hain
tum ne jo naqsha diya tha vo khazaane ka nahin
main azal ta-b-abad aur abad ta-daim
is ka matlab main kisi ek zamaane ka nahin
dars ye khaas hamein aal-e-payambar se mila
sar kataane ka magar sar ko jhukaane ka nahin
main abu-bakr-o-ali waala hoon yunus-tahseen
mujh ko mulla ke masaalik se milaane ka nahin
हुरमत-ए-इश्क़ तुझे दाग़ लगाने का नहीं
बात बनती न बने बात से जाने का नहीं
या-ख़ुदा ख़ैर कि हम दोनों अना वाले हैं
वो बुलाने का नहीं और मैं जाने का नहीं
वहशती हूँ सो गरेबान को आ सकता हूँ
मुझ से डरने का मगर मुझ को डराने का नहीं
बूढे आ'साब कहाँ सहते हैं औलाद का दुख
मेरी तकलीफ़ मिरी माँ को बताने का नहीं
हम तो इक ऐसी ज़मीं पर हैं जहाँ लाशें हैं
तुम ने जो नक़्शा दिया था वो ख़ज़ाने का नहीं
मैं अज़ल ता-ब-अबद और अबद ता-दाइम
इस का मतलब मैं किसी एक ज़माने का नहीं
दर्स ये ख़ास हमें आल-ए-पयम्बर से मिला
सर कटाने का मगर सर को झुकाने का नहीं
मैं अबू-बक्र-ओ-अली वाला हूँ 'यूनुस-तहसीन'
मुझ को मुल्ला के मसालिक से मिलाने का नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Yunus Tahseen
our suggestion based on Yunus Tahseen
As you were reading Dard Shayari Shayari