hijr kahte hain kise ye kya kisi se poochna | हिज्र कहते हैं किसे ये क्या किसी से पूछना

  - Yunus Tahseen

hijr kahte hain kise ye kya kisi se poochna
poochna pad jaaye bhi to baansuri se poochna

baansuri jo ro rahi hai asl se katne ka dukh
asl kya hai ye kisi darvesh hi se poochna

aire-ghaire se kabhi bhi yaar ki baabat na pooch
us ka jab ho poochna us ke wali se poochna

ye bhi koi bewafaai hai jo apne saath hai
bewafa logon ka shar hazrat ali se poochna

be-tuki mat poochna ye jaahilaana kaam hai
martaba rakhna hai poori aagahi se poochna

be-dili se baat karna guftugoo ka aib hai
mast-haalon ki tabi'at khush-dili se poochna

maut kahte hain jise vo hai faraavani ka naam
raaegaani kya bala hai zindagi se poochna

हिज्र कहते हैं किसे ये क्या किसी से पूछना
पूछना पड़ जाए भी तो बाँसुरी से पूछना

बाँसुरी जो रो रही है अस्ल से कटने का दुख
अस्ल क्या है ये किसी दरवेश ही से पूछना

ऐरे-ग़ैरे से कभी भी यार की बाबत न पूछ
उस का जब हो पूछना उस के वली से पूछना

ये भी कोई बेवफ़ाई है जो अपने साथ है
बेवफ़ा लोगों का शर हज़रत अली से पूछना

बे-तुकी मत पूछना ये जाहिलाना काम है
मर्तबा रखना है पूरी आगही से पूछना

बे-दिली से बात करना गुफ़्तुगू का ऐब है
मस्त-हालों की तबीअ'त ख़ुश-दिली से पूछना

मौत कहते हैं जिसे वो है फ़रावानी का नाम
राएगानी क्या बला है ज़िंदगी से पूछना

  - Yunus Tahseen

Rahbar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Yunus Tahseen

As you were reading Shayari by Yunus Tahseen

Similar Writers

our suggestion based on Yunus Tahseen

Similar Moods

As you were reading Rahbar Shayari Shayari